Skip to main content

Akhri Paraa'o ......

Ajj k nafsanafsi k dor main hum jahan apnay sakhafati ikdar ko bhool bethay hain wahan mazhab ki lailmi nay hamain sahi simt ka tayun kernay say mehroom rakha howa hay....

Hum aik aam insan hain...khattah kerna hamari fitrat main shamil hay...kabhi jantay bojhtay howay kertay hain aur kabhi laa'shauri tor per khattah sirzurd ho jati hay...aur kabhi halaat o waqiyat is k zimmay dar hotay hain ...Achay aur buray doston ki sohbat say bhi bohat farq parta hay...Hamaray mazhab main isiliye hamain rozmarah k kamon ko anjam denay k liye misaalon say, hawalon say,  waqiyat say acha bura samajhnay ki talkeen ki gai hay...Quran aik behter zerya hay zindagi guzarnay k saleeqay  seekhany k liye aur her maslay ka hul aur raah numai is main di gaye hay...

Islam main faqat Shirk kerna aisa gunnah hay jis ki maufi nahi hay...Wagerna degar tamam gunnahon k liye ye wazahat bayan ki gai hay k agaer kisi shaks k gunnah aisay hain jis ki maufi nahi hay aur us k nama e amal main aisay naik amal bhi mojood hon jo k ALLAH tallah ko mehboob hon tou Allah tallah apnay karam ki wajah say buray amal ko naik amal main tabdeel  ker dain gay....INSHALLAH...

Hamari achai aur burai dono ka sillah sirf aur sirf Allah k hath main hay...Jab Allah Tallah nay apnay mehboob RASOOL PAK s.w.t ko ye haq nahi dia k wo kisi ko us k amal ki jaza aur saza akhrat main day sakain  tou hum sub tou  un k Qadmon ki khaak bhi nahi....

Roz e akhrat  main Mehboob e Khuda Hazrat Muhammad (Ap per salamti ho) momino ki musalmano ki maufi ki guzarish karain gay...sifarish karain gay....Aur gaur karain k Is guzarish ko manna na manna ALLAH k ikhtiar main hay aur bas.....

Hum aur aap roz mara zindagi main kitnay klogon ko ye bat kehtay howay paye jatay hain k falan ko Allah dikha raha hay.....Us k aamal ki saaza hay...Uska bura kia samnay araha hay....
Ye nadani nahi hay
Balkay
GUNNAH hay aisa kehna.....

Kisi ka ahtasab ker k ap Allah tallah k kam ko apnay hathon main lay ker apn gunnah tou ker he rahay hotay hain saath he saath apki sab naikiyan us shaks k (jisko ap bura keh rahay hotay ho) k nama' e amal main transfer ho rahi hoti hain...Asal main tou hum aisa ker k apnay sath bura aur us shaks k sath acha ker rahay hotay hain.....

Bura kam kerna itna bura nahi hay...Jitna bura kam ker k sharminda na hona.....APnay gunnah ko chota samajhna aur dosray k gunnah ko bara samajhna sub say bara aur na'qabil'e maufi gunnah hay....Bakhshish Allah k haath main hay aur ye bhi k wo kisko mauf karay aur kisko mauf na karay....USKI MARZI....bas

Hamain hamaisha mazhab ki sakhtiyon ko lay ker daraya jata hay jiski wajah say mazhab say mohabat main khalul ajata hay....Ye mazhab ka maumla bhi aisa he hay k jaisa k aik dukandar apni kisi baichnay wali cheiz ki sifaat bayan kerta hay ...Nuqs nahi bayan kerta....Isi terha Maulvi hazrat nay mazhab ko "haw'wa" bana ker  paish kia howa hay...Dozak aur Aag k topic say he bahar nahi atay....aur agar nikal bhi jain tou bat HOORON per aker khatum ho jati hay....Kia Hooron k ilawa ALLAH nay naik achay kamon per  koi aur inam nahi rakha howa....Nafs ki taskeen walay saray inamat yaad rehtay hain mard hazrat ko....khawah maulvi ho k aam banda......:-)

Mazhab main choti choti naikiyon k silay aur jaza ka zikkr ker k mazhab say pyar ki tergheeb di ja sakti hay...Mukamal tou kisi ki bhi zaat nahi ..Siwaye RAB ki zaat k ......

Apnay kiye gai gunnah per sharminda hona is bat ki daleel hay k hamara RAB humse na umeed nahi hay  aur USKI rehmat ka saya hum per abhi bhi qaim hay...k....Allah tauba ki taufeeq bhi sirf aur sirf usi ko deta hay jisay ALLAH chahay...Aur jisay Allah mehboob rakhta hay....

Jab k dosri taraf jo gunnah ker k bhi ppashaiman nahi hotay...Un k dilon pay ALLAH nay tallay dal rakhay hain...Kyoon k ....Allah un se itna naraz hota hay k wo inki tauba sun'nay ka bhi rawa'dar nahi hota....

Gunnahon pay sharminda hona ALLAH ka us shaks ki zaat per meherban honay ki ilamat hay...Aur kia chaheye insan ko ....Allah khush  aur meherban ho tou DO JAHAN AP K QADMON MAIN .....Zindagi aur aakbat dono he sanwar jaye ge ....IN SHA ALLAH

Main bhi zindagi k safar say thak gai hon baarha socha aur sach kahon tou koshishain bhi ki k is na'murad zindagi say kisi tor chutkara hasil kerlon....per ....Zindagi k her mor ki terha is mukam  per bhi naa'kam naa'murad aur naa'shaad he rahi......Hamaisha ki terha....

Mujhay is zindagi main do logon nay dhoka dia....Mera aetimad logon per say aur shayad khud say bhi uth sa gaya....
Aik wo log thay jo meray apnay thay
Aur
Dosray wo logo thay jo meray apnay nahi thay per main nay unko apna mana...apna jana...apna ap luta dia un sub per....

Per aetimad ya aetibar to kia he baa'haal hona tha...Ab ye aalam hay k kis per bharosa kernay wala OPTION meri zindagi say Permanently delete hogaya hay......

Main nay RAB say kuch ziada tou nahi manga tha ..sirf...Aik khawahish thi k meray bad koi aik tou ho jo meri yaad main roye....Meri kami mehsoos karay....Meray kaandhon say wo bojh utar day jo main main Laday laday thak chuki hon...Nidhaal ho chuki hon....

Magar nahi.....
Main yahan bhi nakamyab tehri.......Hamaisha ki terha........Aaah

Ae meri zindgi k malik meray ALLAH main nay teri raah per paraoo daala hay....mujhay apna bana laina...aur kuch day na day bas mujh se ye "HISS E DUNIYA" chein lay ...Main yahan sub kuch haar bethi hon....Dosray jahan main mujhay wo sub chaheye....Aur meray malik TU tou amanat main khayanat nahi kerta na....Tou meri amanat teray supurd ..........Maula.... mujhay mayoos na kerna .....Mujhay mayooos na kerna .....

Mujhay koi wada .....koi tamheed nahi chaheye .....
Bas.....Tera Saath
Bas.....Teri nigah e karam
Bas.....Teri rehmat
Bas....Sirf TU chaheye ........

Mere Maula yehi mera akhri paraoo hay.....mujhay sambhal laina....Ameen

Fehmida Chaudhary....
7th August 2012

  

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...