Skip to main content

Posts

Showing posts from February, 2012

Haalat ki neelam gah.....

Her Nafs hukum e Khuda hay, Her Qadam Jeh'day Hayyat... Is say agay aur aqday main nay suljhaye nahi... Duniya .... ??? Loag.....??? Faraiz...??? Haqooq...??? Ghum...??? Khushi...??? In si sub k ird gird ghoomti hay hamari zindagi ...Duniya jo kabhi na kisi say khush howi hay na hogi... Loag jo matlab k waqt he aik dosray ko pehchantay hain....Faraiz jo hum ada kerna nahi chahtay aur Haqooq jo hum hasil kerna chahte hain....Ghum jo zindagi ka hissa hain aur in k anay aur janay k bad  bhi hum isko nahi bhool patay...Khushi aik aisa amrit jo hum peetay hain aur bhool jatay hain... Hum pori zindagi hasil hasool k chakkar main paray rehtay hain ... kabhi yahan kabhi wahan... Kabhi kisi k chehray ki taraf dekhtay hain kabhi kisi k .... Duniya ka khauf hamain .... Khud hamara honay say bhi rok daita hay... Hum logon k khauf say apnay jeenay ki rahain bhi nazr andaz ker daitay hain... Hum duniya k khauf say us wahid ROZAN ko bhi band ker daina chahtay hain jo hamaray liye zarya e tanaf

Habsss ka mausam...............

Tu usko apnay tamana'on ka markaz na bana... Chand to harjai hay...Har dil may utar jata hay... Janay wo konsa lamha tha jab kabhi bachpan main chand ko dekh kar dua ker dali k mujhay chand nahi tou is jaisa roshan bana day meray Malik....per ab gaur kerti hon tou afsoos hota hay... Chand tou banjar hay... Laq o daq munjamind pathrila sehra numa... na hawa na pani ka guzar...Bas habs he habs...Itna habsss k sans laina he mushkil hota hay... Meray andar bhi shayad ik he mausam teher gaya hay.... HABS ka mausam.... Had e nigah tak dabeez KHAMOSHI ki teh meri zaaat ki shokhiyon per beth gai hay... shayad in shokhiyon ka bhi dam ghut ker reh jaye ga is qafas main dab ker... Dil o demagh main yadoon k tareek jangle main Behissi ki sard hawaon nay meray sab jazbay...sab mehsoosat munjamind se ker diye hain...yahin kahin bohat si raakh bhi hoge idher udhar pheli howi..... shayd meri zaat k atishdan main meray sab khawab jo jal ker bhasam ho chukay thay abhi bhi karaah'tay hon gay