Kuch dino pehla main zehni jismani aur kalbi tor pay had darja nidhaal thi.Is qadr bejaan pa rahi thi apnay ap ko k lagta tha k rooh ki moat wakiya ho chuki hay..Aur jism k teh'khanay main jaan nam ki cheez he nahi..Main nay apnay apko sambhalnay ki bohat koshish ki per NAHI kisi tor sakoon ata tha na qarar..Tou bila akhir main nay her durd o ghum ko ..ranj o alum ko ik ghutri main bandha aur chor aye RAB ki adalat k derwazay per aur loat aye USKI dehleez say bina kuch kahay...Uski Zaat pe chor diye saray faislay...Usi ko waqeel kia apna...Usi ko munsif aur apnay muqadmay ki shunwai k liye wahan ruki bhi nahi....Mujhay kamil yaqeen hay k wo Bayinsafi nahi kerta ...Usay sub khabar hay..Sub pata hay....Wo sub bhi jo main nay kabhi kisi say nahi kaha.......kisi say bhi nahi......kabhi bhi nahi........ Mujhay jo thokarain apnon say aur gairon say milin uski bhi main shukarguzar hon apnay RAB ki k agar main in kutnaheyon say na guzarti tou ajj itni mazboot aasab ki malik na hoti ...Ki...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC