Skip to main content

Aah asr rakhti hay...........

Kuch dino pehla main zehni jismani aur kalbi tor pay had darja nidhaal thi.Is qadr bejaan pa rahi thi apnay ap ko k lagta tha k rooh ki moat wakiya ho chuki hay..Aur jism k teh'khanay main jaan nam ki cheez he nahi..Main nay apnay apko sambhalnay ki bohat koshish ki per NAHI kisi tor sakoon ata tha na qarar..Tou bila akhir main nay her durd o ghum ko ..ranj o alum ko ik ghutri main bandha aur chor aye RAB ki adalat k derwazay per aur loat aye USKI dehleez say bina kuch kahay...Uski Zaat pe chor diye saray faislay...Usi ko waqeel kia apna...Usi ko munsif aur apnay muqadmay ki shunwai k liye wahan ruki bhi nahi....Mujhay kamil yaqeen hay k wo Bayinsafi nahi kerta ...Usay sub khabar hay..Sub pata hay....Wo sub bhi jo main nay kabhi kisi say nahi kaha.......kisi say bhi nahi......kabhi bhi nahi........

Mujhay jo thokarain apnon say aur gairon say milin uski bhi main shukarguzar hon apnay RAB ki k agar main in kutnaheyon say na guzarti tou ajj itni mazboot aasab ki malik na hoti ...Kisi say bhi tawakoo lagana chor di main nay.......Meri galti k main nay ibn e adam k darwazay khatkhataey, madad mangi aur sub say jab mayoos ho gai tou RAB say faryad ki .....Galat tou howa mujhse bhi aur iska mujhay aetiraf hay....

Allah ki laathi beawaz hay,,,,us k yahan dair hay andhair nahi...Haq bat hay .....100% haq bat hay...Aur aisa he hay...haqeeqat bhi yehi hay........

Pata bhi hay,,, shuru say he aisa tha k main jisko bhi izzat o tauqeer deti hon na wohi mujhay apnay qadmon talay rondta hay....Jis k aanso ponchon wohi bad main ansoon ki sogat deta hay mujhay....Jis k zakhm pay marham lagaon wohi phir mujhay zakhm deta hay.....Jis k honton pay tabasum ki wajah main he hon wohi mujhay sab say ziada malool kerta hay....Jisko girtay ko sahara don wo khara ho ker mujhay he gira deta hay....

Mujhay sub mehsoos hota hay...sub maloom hota hay phir bhi main sub pee jati hon....log samajhtay hain jhali hay bewakoof hay samajti he nahi.........

Main jo apni zaat ka haq gazab ker k bethi hon sub k haqooq ka khayal kerti hon...Per mujh per mera bi kuch haq hay ye jannay main zamana laga mujhay......aik taweel arsa .......

Jab ibn e adam zameeni khuda bannay lagta hay na tou WO oper wala dor asmaan say sub dekh raha hota hay..Wo jo khaliq e kainat hay jo apni zaat main kisi ko shareek nahi kerta aur jo shirk ko sakht napasand kerta hay yahan tak k wo meherban wo raheem shirk kernay walay ko kabhi maufi he nahi deta.....Tou jab zameeni khuda us pak RAB k qanoon ko apnay hathon tar tar ker dain tou US pak zaat ko jalal ata hay...Jab rizq jaisi cheiz per bhi insan apni marzi chalana shuru ker dain tou Us Pak zaat ko tab bhi jalal ata hay k ye kam tou sirf uska hay...sirf uska....

Pata nahi aisa kyoon hay....Kafan main tou jaib hoti bhi nahi....log nama e amal bhernay k bajaye bank balance bhertay hain...Ye bhool ker k Allah k nizam ko disbalance ker k wo us k gazab ko awaz de rahay hain aur apnay liye ik dardnak azab khareed rahah hain....

Mushkil k din hamaisha nahi rahtay....Na he meray rahain gay INSHALLAH...abhi hisab baqi hay ....Allah mujhay mayoos nahi karay ga.....itna tou mujhay kamil yaqeen hay...Mujhay insaaf chaheye bas aur kuch bhi nahi...Yahin isi duniya main...Mujhay ab aur nahi rona....Khushyon per mera bhi haq hay aur ye haq meray RAB nay mujhay dia hay koi isay mujhse nahi cheen sakta ....

Aaah main jo asr hay wo duniya ki kisi bandook ki goli main nahi......cheer dalti hay...chun'ni ker daiti hay...tehas nehas ker daiti hay.....Kabhi kisi ki aah na lo.......kabhi bhi nahi........Duniya main jhoot ko sach kehnay say jhoot sach nahi ho jata ...gunah tou akhir gunah he hay...jiski saza barhaq hay.......Is duniya main bhi aur roz e hashr main bhi..........

Fehmida Chaudhary
4th January 2012

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...