Jab hum insanon ko durd hota hay ya had say ziada takleef hoti hay tou hum cheekh uthtay hain k akhir hum bhi insan hain.....per ye bat koi kutta kabhi nahi keh sakta jab wo kisi dukh takleef main mubtilah ho..kyoon k uska bhonkna hamain samajh ata he nahi...Ajj tak ye baat samajh nahi aye k aam janwaron ki terha ye bhi aik janwar hay..tou log isko gaali k tor per kyoon istimal kertay hain ...jab k kutta tou aik wafadar janwar hay...bura tou us kuttay ko lagna chahye k usay kisi insan say mansoob kia jata hay jo na wafadar hay na tabaihdar hay... Mard aur kuttay main zameen asman ka farq hay .... Kutta wafadar hota hay.... bas wo bol nahi sakta k bata sakay k usko kitna bura lagta hay....jab kisi mard zaat k nam k saath usay pukara jata hay... Meri tamam hamdardiyan us kuttay k saath hain...kyoon k wo bechara wafadari k tamam amrooz say waqif hotay howay bhi batain sunta hay....Bechara kutta.... Mard zaat tehri saada ki Bad zaat...... Naya zamana hay nai riwaj......tou kyoon n...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC