Skip to main content

Bechara Kutta.....

Jab hum insanon ko durd hota hay ya had say ziada takleef hoti hay tou hum cheekh uthtay hain k akhir hum bhi insan hain.....per ye bat koi kutta kabhi nahi keh sakta jab wo kisi dukh takleef main mubtilah ho..kyoon k uska bhonkna hamain samajh ata he nahi...Ajj tak ye baat samajh nahi aye k aam janwaron ki terha ye bhi aik janwar hay..tou log isko gaali k tor per kyoon istimal kertay hain ...jab k kutta tou aik wafadar janwar hay...bura tou us kuttay ko lagna chahye k usay kisi insan say mansoob kia jata hay jo na wafadar hay na tabaihdar hay...

Mard aur kuttay main zameen asman ka farq hay .... Kutta wafadar hota hay.... bas wo bol nahi sakta k bata sakay k usko kitna bura lagta hay....jab kisi mard zaat k nam k saath usay pukara jata hay...

Meri tamam hamdardiyan us kuttay k saath hain...kyoon k wo bechara wafadari k tamam amrooz say waqif hotay howay bhi batain sunta hay....Bechara kutta....

Mard zaat tehri saada ki Bad zaat......

Naya zamana hay nai riwaj......tou kyoon na sachai ko apnatay howay hum ajj say kahin jab bhi kisi ko bura kehna ho tou.........Tm tou poray insan ho insan.......kuttay tou phir bhi lakh darjay behtar hain.......in insanon say.....in bad zaaton say.........

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Mohabat kia hay ????

Mohabat kia hay...her shaks ka apna apna nazarya hay...aur alag alag nazarya hona bhi chaheye kyooon k jab insan dekhnay may aik say nahi hain tou her insan ki soch aik si kaisay ho sakti hay....Mohabat ka aik asool ye bhi hay k jab kisi say mohabat ki jaye tou us say mutalik her cheiz ko apnay pyar k hisar mae shamil kerna perta hay...kyoon k apnay mehboob say mutalik her cheiz say pyar ap per wajib ho jata hay...Mera mehboob mera RAB hay...mujhay us say mutaliq her cheiz say pyar hay...uski maklooq say bhi ...chahay wo murd ho k aurat...jins ka is may kuch laina daina nahi...Mujhay kisi ki koi bat buri nahi lagti...K ...Jis ki khatir mae ye sub bardash ker rahi hon...wo mujh say laparwa kaisay ho sukta hay... Zalim duniya k apnay nazriyat hain...unki nazar may ikhlaq, ahsas, izzat, compromise,koi ma'ani nahi rukhta....wo to isay apki kamzoori gardantay hain... Shikway shikayat kerna kamzor insan ki nishani hay...Khas tore per jab ap kisi k sath acha ker k return may achay ki um...