Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2015

Raat dhalti rahi....

Ye saal bhi udaas raha , roth ker gaya... Tujhse milay bagair december guzar gaya... Ajj bhi tery arial mizaj ki terha terhi yaad bin bulaye mehman ki terha meri tanhai main mokhil howi...Meray jism k aatishdaan main tanhai ki aag main mera dil, sookhi lakriyon ki manind jalta raha... chand chamakta raha..., raat dhalti rahi...main sulaghti rahi... Fehmida Chaudhary 31 December 2015

Bohat he shauq tha tumko...

Ab kia howa hay ? Tumhain meray bolnay say  bhi problem thi aur ab na bolnay say bhi.... Kaha bhi tha k mujhay aik khawab he rehnay do ...ik aisa khawab jo tabeer say mehroom hota hay...apnay gird kis qadr mushkil say onchi faseelain tameer ki thi mene ... na main aar dekh sakti thi na paar...per tum to hatdharam thay na...dandanatay howay bila ijazat faseelain masmaar ker k meri zaat k sehra main pani ki bond ki manind a k meri tapti rait jesi zindagi ko sairaab ker gaye... Kaha tha na taqdeer rothi howi rehti hay mujhse...per tumhain zid thi k dua se ye bhi badalti hay...Kaha bhi tha k bohat khardar hay zindagi...per tum phool k shaidai aur phool ki fasal lagane k dawaydaar bhi....per kia aya hath...khaar der khaar he na... Bohat shauq tha tumhain mera dil dukhane ka...dekho ab kuch bhi ho ye mera pather dil na rota hay na hansta hay...ye pather he ho gaya hay..na nafrat na mohabat is pather ko phigla sakti hay na he koooi manter taweez hay is ko moam kernay ka... Tum k

Mohabat daagh jaisi hay....

Mohabat phool hoti hay per ye khaar jaisi hay....Mohabat roshni hay per ye daagh jaisi hay....Mohabat khushboo hoti hay per ye raakh jaisi hay...Aik bar raakh ki kaaluk lag jaye to insan ta umer is kalak ki siyahi ko mita nahi sakta...Mohabat zindagi hoti hay per ye moat jesi hay....Mohabat nam hay abad kernay ka magar ye akser youn he barbad kerti hay...youn to ye shaf'faf hay kanwal k phool ki trha ...per akser ye dekha hay k ye sangsaar kerti hay... Maine jo ab tak dekha hay....Mohabat azaar hay jan ka ...wabal e zindagi hay ...janjal hay jee ka... Fehmida Chaudahry 22 December 2015

mujhay zindagi nay mara hay...

Jo shakhs sub k liye achay buray waqt me saath khara hota hay...jab uska waqt ata ata hay to hamesha khud ko tanha he pata hay...rishta koi bhi ho...chehray badal jatay hain per kahani aik si hoti hay...jab tak ap mukhlis ho ap logon k hath main khilonay ki manind ho ... aur apse faida uthanay walay apna waqt bhool k ap per ungiliyan uthatay rahain gay...ap bus aik dustbin k manind ho....jis k naseeb main kachra he kachra hay .... Maine duniya se ye seekha hay k ap k apnay liye asool kuch aur hotay hain aur dosron k liye kuch aur..aur shayad aisay log he kamyab bhi hotay hain...jhoot faraib matlab parasti he aik insan ko kamyab kerti hay... sacha mukhlis bematlab insan duniya ka bewakoof tareen insan hota hay... Marna bohat zaroori ho jata hay jab insan khud ko jeenay k mayaar se kam pata hay...mujhay bhi marnay ki chah hay ... moat to shayad ik bar aziat deti hay per ye zindagi her din  her lamha her soo aziat he aziat deti hay... Per hairat to ye hay keh mujhay to moat ne nahi

Titli c larki.aur..duniya saanp jaisi hay....

Tum na samjho gay , mere dil per kia guzarti hay... Tum ne dekha nahi aalam meri Tanhai ka.... Maine kab socha tha jeenay ki chah aur muskurane ki khawahish mujhay itni mehngi paray gi k uski qeemat meri rooh ki mout hogi....kab socha tha mehfilon k bajaye tanhai ki aag main jalna hoga...kab socha tha maine k phoolon ki chah main kantay muqadar honge....kab socha tha k roshni ki deewangi main andhaira mera naseeb hoga... Zindagi ki talash main main dukh nagri k akhri kinaray tak gai per kuch bhi hath na aya....dil chalni...zaat raiza raiza....pather soch se apna ap he sangsaar hoga.... Fehmida Chaudhary 13th December 2015