Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2016

Pagal Larki...

Wo mere samnay khari thi . Maine dekha us ki ankhon k gird siyah halkay us k rutjaggon ka jeeta jagta saboot paish ker rahay thay.  Maine us se pocha ....? Tumhain Kia howa hay....? Wo isteh'raa'ia andaz main hansi... Us waqt mujhay mehsoos howa k uski khamoosh ankhon main nami utr ai hay... Us k lab khulay aur wo dheeray se sir jhuka k boli.... "Mujhay IDRAAK howa hay ".... Maine hairat se uski taraf dekha aur sawal kia....?? Kis cheiz ka IDRAAK howa hay ...? Main samjhi nahi tumhari baat ka matlab....? Wo muskurane ki nakam koshish kertay howay boli.... "App ko pata hay maine kabhi armaan nahi palay, na he bari bari khawahishain ki hain...App hairaan hongi meri zindagi ki sub se bari khawahish yehi THI k jab main maron to koi aik shaks "SIRF MUJHAY"  roye... Us k ansoo dekhaway k na hon... Wo sirf meri khatir....meray liye roye.... Kia ye koi bohat he bari khawahish thi? Ya Apni had se ziada maang lia tha maine...

Yaqeen...

Kya ajab he harman naseebi thi us larki ki bhi...wo apni mohabat ka yaqeen dilate dilate thak gaye thi...per wo b ajab tha... Aetibaar krta he na tha... Aur phr aisa howa k wo aetibar ki serhi cherheny laga tou.....wo phool si naazuk larki apna yaqeen...apna aetibaar khoo bethi thi... Written by fehmida chaudhary 18th nov 2016

Doo Baray Dukh

Duniya me doo tarah k dukh naqabil e faramosh hotey hain..pehlay number pr wo dukh jab kisi bohat apne ki ankhon me hum gair'iat,  bey'aetinai aur ajnab'iat k saey mehsoos krte hain... Aisa waqt jb hum pr ata hy to jism me garm dorta hwa khoon yak dam is sard mohri se munjamind hota hwa mehsoos hota hy... Dosra bara dukh ka makam wo hota hy jab hum zindagi me apnay qareeb k logon pr itna andha aetimad krte hain k... Us aetimad aur andhay pan me hm apni hissiat bhi un logon k pass girwi rakhwa dete hain...aur hosh tb ata hy hamain jab us andhay pan me hm quwain me gir chukay hote hain... Written by Fehmida Chaudhary 14th november 2016