Skip to main content

Pagal Larki...


Wo mere samnay khari thi . Maine dekha us ki ankhon k gird siyah halkay us k rutjaggon ka jeeta jagta saboot paish ker rahay thay. 


Maine us se pocha ....? Tumhain Kia howa hay....?

Wo isteh'raa'ia andaz main hansi...
Us waqt mujhay mehsoos howa k uski khamoosh ankhon main nami utr ai hay... Us k lab khulay aur wo dheeray se sir jhuka k boli.... "Mujhay IDRAAK howa hay "....

Maine hairat se uski taraf dekha aur sawal kia....?? Kis cheiz ka IDRAAK howa hay ...? Main samjhi nahi tumhari baat ka matlab....?

Wo muskurane ki nakam koshish kertay howay boli....
"App ko pata hay maine kabhi armaan nahi palay, na he bari bari khawahishain ki hain...App hairaan hongi meri zindagi ki sub se bari khawahish yehi THI k jab main maron to koi aik shaks "SIRF MUJHAY" 
roye...
Us k ansoo dekhaway k na hon...
Wo sirf meri khatir....meray liye roye....

Kia ye koi bohat he bari khawahish thi?
Ya
Apni had se ziada maang lia tha maine....?

Wo hizyaani c hansi...................hansi thi...
Aur sawaliya nazron se mujhay dekh rahi thi...

Is waqt us k chehre per mujhay duniya bhar ka dukh aur qarb ki perchaiyaan mehsoos howi...

Maine kaha..... Nahi tou
Ye koi bari khawahish tou na thi....aur tum bar bar "YE KHAWAHISH THI"
 keh rahi ho....Kia ye khawahish ab nahi hay ya khawahish badal chuki hay kisi dosri khawahish main....?
Aur
Abhi tumne ye bhi zikr kia tha k tumhain IDRAAK howa hay....
Kia? aur kis baat ka idraak howa hay tumhain...bataogi mujhay bhi....?


Wo udaas lehjay main boli...is baat ka idraak howa hay k is duniya main koi kisi ka nahi hay...aur main bhi to isi duniya ki baasi hon ...tou koi kyoon? kesay? aur kyoon ker? hoga mera....Log jeetay jagtay, chamakte, muskuratay chehron k pojari hotay hain ... koi kyoon ker mujh jesi bujhay diye ki manind hasti ko apnaey ga...? Aur aap khawahish k mutalik jo poch rahi hain tou khawahish main badlao aya hay meri aur iski wajah yehi IDRAAK hay jo mujhay barson pehlay he ho jana chaheye tha....


Maine hairaat se us PAGAL LARKI ko dekha...jane kis dais se ai thi wo....?

Dikhne main mazboot aasaab ki malik lagti thi aur baton se mehsoos hota tha moam ki guriya ho jesay....

Maine baat ko berhana chaha aur boli...
Ab tumhari khawahish badal gai hay..abhi tumne bataya tha...tou kia tum ye batana pasand karogi k ab kia khawahish hay tumhari....?

Ab.......??? 
wo khoye howay andaaz main boli...
App shayad mujhay aziat pasand samjhain magar
Ab meri khawahish hay k meri mout aise ho 
k jab main maron to meri laash ki hazaron tukray hon ...
koi idher giray ....koi udhar giray
samaitna bhi chahe koi to samait na paye....
koi shanakht he na rahay meri...

ye bolte bolte us ki ankhon ki surkhi youn mehsoos ho rahi thi goya ankhon me waqia'tun khoon uter aya ho....

Mera rowan rowan khara hogaya uski wehshat dekh ker...
Main jan'na chahti thi uski is khawahish k badlao ki wajah....
Tum aisi khawahish kyoon rukhti hon ....batao na mujhay...
Maine phir sawal kia ?

Us k hont larzay thay.... wo goya howi...
Jab main zinda aur mukamal wajood thi us waqt meri hasti ko jitna perkha gaya utna samjha nahi gaya... maine her wo amal kia jis se dosron se khushi milay chaheye wo meray liye kitna he aziat nak kyoon na ho...per wo jo be'nishani meri qismat me likh di gai thi wo zindagi k her rishtay . her manzil main mera muqadar rahi...meri zindagi aik khana badosh ki c rahi jiska koi aik thikana nahi hota... der der ki thokarain uska naseeb hota hay...

Ye hay meri khawahish k badlaoo ki wajah...
wo siskiyon k saath ronay lagi....
Maine haath berha k us k ansoo saaf kerna chaheye...
per gaur kernay per pata chala k 
main aainay me 
APNE HE AKS 
se mukhatib thi....


Written by Fehmida Chaudhary
24th November 2016


Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...