Skip to main content

Posts

Showing posts from December, 2016

Baaghbaan....

Aik baaghbaan zameen main beej daalta hy is umeed se k inse nanhi konpal phote gi...aur jis din nanha sa poda is beej se phot'ta hy... us maali ki khushi ki inteha nhi hoti....aur phir maali k roz o shab us poday ki hifazat aur khayal krte guzartay hain...aur wo nanha poda b roz us maali k intizar me hota hy k kb wo aye ... Usay pani day, sajaye sanwaray aur dekh bhal kry.... Aur maali us poday ki dekh bhal tb tk kerta hy jab tak wo tanawer darakht nhi ban jata...is mazboot, haray bharay tanawer darakht se na tou baaghban ko saey ki tamana hoti hy na he phal ki...per jane kyoon ye darakht jese he apni mazboot jer'on se khud apni khooraak kasheed krny k qabil hota hy....wo us baghbaan ko bhool jaya hy jisne apni jawani uski nigaahbaani me surf krdi...us k hary bhare pattay hawa me jhoom k apne baaghbaan ko he taaza hawa k jhonkay dene se kat'ratay hain...saaya dene k b rawadaar nazr nhi atay...kon jane baaghbaan ne nigaahbaani me kia qasr chor di... Written by Fehmida Chau

Naa'soor

Youn tou zindagi main kai baar hmari rooh zakhmi b hoti hy aur taar taar bhi....hm hr mumkin koshish krte hain k in zakhmon ko marham mil jaye aur rooh ko sakoon mile...magar duniya ki koi dawa, koi marham asr nhi krta...aur ye zakhm hmari he aagosh main hmary zer e saaya panapta rehta hy...aur guzarta waqt isay naa'soor me badal deta hy...aur ye na jeenay deta hy aur na marne deta hy...bsss umr bhar ristaah rehta hy....laailaj jo tehra.... Jism pe lagay zakhm qabil e ilaj b hotay hain aur qabil e bardasht nhi...pr rooh k wo zakhm jo kisi k jhoot, faraib se rooh ko ghayaal kerdain wo naa'soor bn k jaan le k he jaan chortey hain...aise nhi... Momi bolay chali jarhi thi...aur main hairat se usko takay jarahi thi... Wo bht dino bd mujh say milnay aai thi...dil ka bojh halka krny... Maine kaha momi tm betho main chai bna k lai....usne hath berha k mjhy jane se rokty howe kaha...nhi aap kahin na jain bs meri sunain... Uski ankhon main nami dekh k mene wahin bethna munasib samjh

Ander ka gham...

Jo aanso hum bahah nhi patay wo aanso ander he ander dil pe girty hain... Ye her waqt ki ander ki nami .... Seelahat paida kr deti hy... Aur ye seelahat deemak ko daawat deti hy...ye deemak ander he ander porey wajood jo khookhla ker deti hy...pta he nhi chal pata k ik chalta phirta oncha lamba qad awer insan kb deemak zada ho k taewaraah k gir parta hy... Aur ye deemak zaadah wajood na to muram'mat k qabil rehta hy na khatum hota hy....akhri saans ane tak is deemak lagay wajood ko zindagi k nam pe gha'seet'naah perta hy....kabhi ider aur kabhi udher.... Written by Fehmida Chaudhary 4th December 2016