Skip to main content

Naa'soor

Youn tou zindagi main kai baar hmari rooh zakhmi b hoti hy aur taar taar bhi....hm hr mumkin koshish krte hain k in zakhmon ko marham mil jaye aur rooh ko sakoon mile...magar duniya ki koi dawa, koi marham asr nhi krta...aur ye zakhm hmari he aagosh main hmary zer e saaya panapta rehta hy...aur guzarta waqt isay naa'soor me badal deta hy...aur ye na jeenay deta hy aur na marne deta hy...bsss umr bhar ristaah rehta hy....laailaj jo tehra....

Jism pe lagay zakhm qabil e ilaj b hotay hain aur qabil e bardasht nhi...pr rooh k wo zakhm jo kisi k jhoot, faraib se rooh ko ghayaal kerdain wo naa'soor bn k jaan le k he jaan chortey hain...aise nhi...

Momi bolay chali jarhi thi...aur main hairat se usko takay jarahi thi...

Wo bht dino bd mujh say milnay aai thi...dil ka bojh halka krny...

Maine kaha momi tm betho main chai bna k lai....usne hath berha k mjhy jane se rokty howe kaha...nhi aap kahin na jain bs meri sunain...

Uski ankhon main nami dekh k mene wahin bethna munasib samjha...chalo bolo kia btana chah rhi ho...btao...

Kia dil me jo mohabat ka khana ya hissa hota hy jahan ik he shaks ki gunjaish hoti hy...usme hm aik waqt me aik se ziada ko bsa sakte hain....??? Nhi naa??? Jb dil ka basi dil se bahr niklega to he koi dosra usme dakhlay ki koshish kr sakta hy na...jb k wo ander wala shakhs bhi seena taan k shan se barajaman hy...

Puranay kiraidaar ko bhi to malik makan ye sahulaat deta hy na k wo raij e zamana kiraye se kam me rihaish ikhtiar kr sakta hy...tou wo jo bina kiraye k mere dil ka malik bn k betha hy...us se main kesay kehdon k makan khali ker day...

Pta nhi momi kia bolay jarhi thi...meri to kuch samaj nhi araha tha...

Maine jaan churatay hoey muskura k kaha...momi tm usay final notice dedo k apne aap ko ahl sabit kry tmhare dil ki basti me rehne k liye....warna tou khaali krdy...

Momi yak dum khari howi aur brbaratay hoe boli...
Dil Qurqi k bd main notice dene k qabil kb rahi hun...

Main usay darwaze se jata howa dekhti reh gai...

Written by Fehmida Chaudhary
24th December 2016

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.