Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2017

Dastoor....

Ajab dastoor e duniya hy ...yahan zindon se ziada maray howon ki parwah ki jaati hy...zindagi main anso'on ka tohfa dene wale jab shehr e khamoshan me milne ate hain to qabr ki mitti pe pani ka chirkao kr k goya ansoo'on ki kami pori krty hain...phoolon ki chadar cherha k jane konsi mohabat ka haq ada krte hain... Maine jeetay jee mar k dekha hy...ankhain muntazir he rehti hain k unki pyas bin mangay he sairaab hojaye...dil ki batain bin kahay he samajh li jain...jeetay jee marnay ka ik asool ye b hy k apny jaan se pyare logon ko unki behter aur khobsurat zindagi k liye chor diya jaye...muh mor liya jaye...aur jb apna jism apni he hasraton ki aag me jal k khakster ho jain to us raakh k phoolon ko us shaks k qadmon me paish krdia jaye.... Written by Fehmida Chaudhary 31 august 2017

Dua ....

Allah ki adalat main insaaf hay adal hay...maufi hay...Wo pasand bhi unhe bandon ko kerta hay jo mauf kerna jante hon....Maine bhi zindagi main her us shaks ko mauf kia jisne mera istehsaal kia per ab meri dua hay Ae mere Allah maine jinhain mauf kia TU unhain kabhi mauf na kerna...Adal kerna..Insaaf kerna... Written Fehmida Chaudhary 8th August 2016

Luch'uk....

Haan meri salamati ki wajah meri zaat main mojood luchuk hay ...Yehi wajah hay k tohfaanon ki zad main reh ker bhi kabhi mere qadam dagmagaye nahi... ye luchuk ye her haal main khud ko dhaal lene ki salahiyaat kabhi kamzoor nahi pernay deti...Log khawa kuch bhi kahain k apne haq k liye larne ki himmat nahi ...per sach yehi hay k dil is terha kisi se larne per maa'el he na ho saka...waqt se dosti kaam zaroor ati hay...jis ghaat ka pani ajj hum peetay hain usi ghaat per  waqt seerab logon ko bhi le ker ata hay....kabhi bohat jald aur kabhi kuch dair se..... Written by Fehmida Chaudhary 8th August 2016