Der haqeeqat Momi tou aik seedhi saadhi larki this...Jo Chand se pehron batain kr k...baarish ki risti bondon ko dekh kr...qaus o khizaan k bikharty rungon ko dekh kr he khush ho jaati this...Jo wo hansti tou uski hansi Goya mandir Mai bajti guantiyon ki jal tarang ki manind aas pass ki khamosh aur udass fiza Mai rang bhar deti...aur agr wo kabhi udass hoti to Zarah zarah us k gham me uska saath details mehsoos hota... Logon k ravaiye us k nazuk Dil pr gehra asar dalte...aur uski ankhain akser choti choti bat pr bars kr bojhal raha krti thin...would apne rung Mai rang lenay ki salahiat seebhi malamaal thi.... Wo apne gird ik aahinee qilaah bana kr khudko isme muqeed kr k bht mehfoz samajti thi.. MAGAR Aney walay ne aaoo dekha na taao dandanata ghusta Chala Aya us k ird gird ki devarain masmaar kr k...be'takalufi k fun seearaha uski roo'ton ko hansane wali batain aur in baton seeDil mooh lene k gurr se wakif wo shaks Momi k hawaa'son aur Dil pr chaa'ta Chala gaya...Mo...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC