Her insan ki Zindagi main qurb ki definition alag alag hoti Hy...Momi to aziat'on ko sehte sehte aziatpasand bn chuki thi...ab dukh sehna raas agaya Tha usay...per ye Jo wo abhi abhi keh k gaya Tha "aap k hone na honay see koi farq nhi perta"...wo jahan thi khari ki khari reh gai...saans Jese senay main atuck si gai thi...qurb kisay kehtay Hain? wo ajj samjhi thi... Kesa lgta Hy na jab AP jinko khara kertay kerty khud nidhaal hojao wohi ap k qadmon talay zameen kheench lain...kisi ko acha bnaty bnaty hum khud uski nazron main kitne buray bn jatay Hain...ye ajj Momi samajh Pai thi...room room sulaag rha tha uska... Aur ajj qurb k is makaam pe wo soch rhi thi k apna aap mita k Uska maqaam bnane k chakker main wo to ye bhool he chuki thi k apni zaaat ki nafi kr k wou khud mit'tay mit'tay aik hakeer Zara bn k reh jayegi uski nazar main... Shayad makafaat e Amal Tha ye...usne apni nafi kr k apne bnane Waley k qanoon ki khilaaf warzi thi...tou aj usi Rab ne usko uski...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC