Main momi guriya,,,,na tou ab moom ki Rahi na he guriya jesi. Ghar main rehtay Howe bhi mjhy nhi yaad prta k main aainay k samnay khare ho kr apna jaiza Lia ho...Haan magar ye Hy k jb bahir niklon tab ban than k niklti hun k koi Meri ankhon ,,, mere chehray see merry ahsasat perh na paye...muskurat b lazmi hissa Hy is adakaari ka... Mujhay wo din ajj b yaad Hy jb Maine aainey main tafseeli jaiza Lia apna,,,main itna hansi hun k kehkahay lagaty lagaty shiddat see roo pari....Maine bohat khoja khudko k ye aainey may main to nhi...ye to koi programed shuda insan hay jiska Rona , hasna, bolna, chalna, pehenna orhna ka remote control her us insan k pass Hy Jo mjhse mohabat ka dawa krty Hain...rishtaydaar hon k dost,,, tou phir Main Kahan hun,,,,main tou Rahi he nhi...khudko Kahan dhondun main....??? Baaz dafa main bohat hairan hoti hun k aik chaltay phirty insan ki shaksiat ko mus'k kr k usay apnay bnaye sanchay main dhaal k ap nizaam e qudrat ko challenge nhi kr rhy hotay Kia....? Au...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC