Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2018

Ye bhi socha hy kisi ne?

Kabhi kabhi mjhy taq pe rakha howa dia bilkul apni terha mehsoos hota Hy. Jesay andheray main us diay ko taq see utha k ujala krny k liye jalaya jata Hy aur zaroorat khatum honey per phir bujha k taq PE rakha dia jata Hy. Aur kabhi kabhi apnay nam ki terha mjhy apna ap aik Guriya sa lagne lagta Hy. Bilkul aik chabi ki guriya ki terha. Na Meri apni pasand, napasand, na mera apna mood manni rakhta Hy. Mujhay to bus her waqt katputli ki terha kabhi kisi ki kabhi kisi ki ungliyon k isharon pe huqum ki bajah awri karni Hy. Jab koi chaheye mjhy hansty see rule de.aur jab chaheye rotay see hansa de...jab tanha rehna chahon mere ird gird mehfil saja de aur jab mehfil ki tamana ho mjhy tanhai k pinjray main qaid kr day...jab honton PE chup ki dabeez teh dikhy to huqum e goyae ajaye aur jab bolna chahon to qaalaam ki pabandi ho...jab bekhawab ankhain pather Hun aur un me khawabon ki fasl bonay ka huqum milay...aur jab khawab dekhna shuru Kia to is padash main ankhain noch di jain. Guriya guriy

Harmaa'n naseeb log...

Hum jesay dhutkaray howe, Kam naseeb logon ko moat bhi qabool nahi kerti wo bhi ugaal deti Hy.. Moat k darwaze pay dastak de de k loat k Zindagi ki qaid main wapis anay ka safar goh k qabil e qabol nahi hota per Zindagi k hathon apni hasti ka zillat bhara safar jaari rakhna bohat ziada mushkil lgta Hy. Zindagi ka ye safar itna kath'in, khaar'daar kyoon hota Hy? Aik taraf Zindagi wehshat Hy tou moat dehshat? Dono main see ziada aziatnaak Kya Hy...Zindagi see bezaar log moat ko galay lagana chahtey Hain tou moat ko ata dekhne wale log Zindagi ki umeed lgaye bethay hotay Hain. Shayad hasil see ziada hum la'hasil ki tamana main bhataktay Hain. Ye dar dar bhatakna hmain faqeer bana deta Hy. Aur faqeer to be'niaz hota hy, wo di ki dhaak dhaak ki laey per raqs e bismal krta Allah Hoo ki sada lagata alag he duniya ka baasi bn jata Hy, jahan Zindagi aur moat jesi cheizain usay mutasir nahi kerti. Wo fana aur baqah ki hadood ki duniya see itna door nikal jata Hy k pechay see aat