Zindagi may aik bat jo mae nay mehsoos ki wo ye k logon ko apnay aap say bohat mohabat hoti hay..wo jitna khud ko preferences daitay hain kisi aur ko nahi....Ajab sa ahsas hota hay mae un sub jaisi kyoon nahi hon... Mujhay to apnay ilawa sub say pyar hay...mae kyoon aisi hon..khud ka ahtasab he khatum nahi hota...24 hrs adalat lagi rehti hay...jis mae ....khud he mae judge hoti hon...khud he mujrim...khud he wakeel hoti hon...Faisla hamaisha meray against he nikalta hay... shayad meri zaat may koi aisi kami hay jo mujhay bechain rakhti hay...Na qarar ata hay...Na sakoon ata hay...Na he zindagi say pyar hota hay na he nafrat ka ahsas hota hay...Na he kuch panay ki umang hay na he kuch khonay ka hosla hota hay... Ik ajab si beqarari si hay jo mujhay khai jati hay..ander he ander...deemak ki terha..shayad ab sirf ik sancha sa bacha hay ...jo deekhnay mae thoos hay per andar say deemak zada...ghum ki deemak nay isay andar he andar chaat k khatum sa ker dia hay...ik khokhala sa waj...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC