Skip to main content

AHTASAB DEPARTMENT....

Kehtay hain jab ishq ho jaye to insan kahin ka nahi rehta...Per jab ALLAH say pyar ho to us insan apnay ap ko bhool ker subka ho jata hay...matlab wo ALLAH ko razi kernay k liye her wo kam kerta hay jo ALLAH ki nazar mae usko acha sabit karay...Allah humse 70 maa'on jaisay pyar kerta hay to wo kyon hamain jaza nahi day ga...aik chotay say chotay amal ki jaza hay...Kisi rastay per say kailay ka chilka (banana peel) utha ker side per kernay ka he itna sawab hay k bayan nahi kia ja sukta...

Mazhab say pyar insan ko bulandiyon ki taraf lay jata hay...wo insan ko insaniat ki miraj per poncha daita hay..usay shaitan bannay nahi deta...Log apnay mazhab say pyar ka izhar gair mazhab k logon per tanqeed ker k   show kertay hain...jab k unhain ye nahi pata k hamaray pyary mazhab mae kisi dosray mazahib ko bura kehnay ka aur unper tanqeed kernay ka gunnah bataya gaya hay...kisi ko sachai aur achai k rastay per chalanay k liye kisi qism k daraway ki zaroorat nahi hoti...Apni achai..mazhab ki achai...ap sirf aur sirf apnay amal say zahir ker suktay ho..jo k afsos k sath kehna perta hay k hum nahi kertay...

Hum khush hotay hain dosron per tanqeed ker k ..bila wajah ya wajah k sath...per apnay mae sudhar nahi lana chahtay...kon hay jo PERFECT hay..sirf RAB he hay to perfect hay..MAE...AAP....YA aur log kuch percent achaiyan rukhtay hain to burai ka bhi kuch ratio hota hay hamaray andar...

Kisi mae kuch acha hay..
Kisi mae kuch bura hay..
Insan galtiyon ka putla hay..

Kisi insan ki zaat agar burai say pak hoti to ALLAH tallah insan ko alag aur Farishton ko alag designation nahi deta...bat hay samajh k...
Kisi ki burai ki taraf ham sub say pehlay ungli uthatay hain..
per uski achi bat ko appreciate nahi kertay...
Mazhab sikhata hay k achai ki tareef karo...aur burai ko dhanpo..
per hum kamzoor log...dosron ki khamiyon ka ahtasab kertay hain..Apna nahi..

Agar her insan apna a0
pna AHTASAB DEPARTMENT bana lay to duniya say aur hamari zaat say kitni he buraiyan  dore ho jain..

ALLAH ko khush rukhna hay to hamain logon ko khush rukhna hoga...
Logon ko khush rukhnay say murad unki shaksiat ki khamiyon ko chupa ker unki shaksiat ki achaiyon ko appreciate kerna hoga..aur unki galtiyon per unko mauf kerna hoga..k RAB ko mauf kerna pasand hay...


Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.