Skip to main content

Lost Soul........

Zindagi may aik bat jo mae nay mehsoos ki wo ye k logon ko apnay aap say bohat mohabat hoti hay..wo jitna khud ko preferences daitay hain kisi aur ko nahi....Ajab sa ahsas hota hay mae un sub jaisi kyoon nahi hon...
Mujhay to apnay ilawa sub say pyar hay...mae kyoon aisi hon..khud ka ahtasab he khatum nahi hota...24 hrs adalat lagi rehti hay...jis mae ....khud he mae judge hoti hon...khud he mujrim...khud he wakeel hoti hon...Faisla hamaisha meray against he nikalta hay... shayad meri zaat may koi aisi kami hay jo mujhay bechain rakhti hay...Na qarar ata hay...Na sakoon ata hay...Na he zindagi say pyar hota hay na he nafrat ka ahsas hota hay...Na he kuch panay ki umang hay na he kuch khonay ka hosla hota hay...
Ik ajab si beqarari si hay jo mujhay khai jati hay..ander he ander...deemak ki terha..shayad ab sirf ik sancha sa bacha hay ...jo deekhnay mae thoos hay per andar say deemak zada...ghum ki deemak nay isay andar he andar chaat k khatum sa ker dia hay...ik khokhala sa wajood...jo na to HONAY mae shamil hay aur na he NA HONAY may...
Hum to un logon mae say hain jinhain moat bhi bin bulay qabool nahi kerti..ik tamasha sa bana ker rukh dia hay mera khud mae nay he ...itni nafrat to kisi dushman say nahi ki..jitni khud say hoti hay....

Mae kia thi....
Kia ban gai hon..

Ik ajab he rang may...
rang gai hon...

Shayad teri kisi
Aaah ka asar hay
K
mae zinda to hon per
andar say
shayad mar gai hon...


Sans laiti hon
to youn mehsoos hota hay...
Zehrili hawaon may sans lay ker
khud bhi zehrili ban gai hon

Thuk gai hon khud
apni lash ko
khandhay per uthai...

Ab to ker do dafan
Dal do mitti
K shayad mujhay qarar ajaye...



Fehmida Chaudhary


Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.