Mohabat kia hay...her shaks ka apna apna nazarya hay...aur alag alag nazarya hona bhi chaheye kyooon k jab insan dekhnay may aik say nahi hain tou her insan ki soch aik si kaisay ho sakti hay....Mohabat ka aik asool ye bhi hay k jab kisi say mohabat ki jaye tou us say mutalik her cheiz ko apnay pyar k hisar mae shamil kerna perta hay...kyoon k apnay mehboob say mutalik her cheiz say pyar ap per wajib ho jata hay...Mera mehboob mera RAB hay...mujhay us say mutaliq her cheiz say pyar hay...uski maklooq say bhi ...chahay wo murd ho k aurat...jins ka is may kuch laina daina nahi...Mujhay kisi ki koi bat buri nahi lagti...K ...Jis ki khatir mae ye sub bardash ker rahi hon...wo mujh say laparwa kaisay ho sukta hay... Zalim duniya k apnay nazriyat hain...unki nazar may ikhlaq, ahsas, izzat, compromise,koi ma'ani nahi rukhta....wo to isay apki kamzoori gardantay hain... Shikway shikayat kerna kamzor insan ki nishani hay...Khas tore per jab ap kisi k sath acha ker k return may achay ki um...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC