Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2011

Ab durd ko bhi durd ka ahsaas nai hota.....

Nasm gum gaya Andaaz gum gaya Agaaz gum gaya Anjaam gum gaya Raat gum gai Baat gum gai Zaat gum gai Per kahan...........??? Dhonda to bohat .............per milti he nahi........ Shayad main khud he khud may gum gai ........ Meri apni zaat he aik andhairay ghaar ki manind hay.... Jahan udasiyon ki ghanay jalay hain.... Jahan insanon ki basti ki terha khoon asham khooni darinday hain......... Jo apni zehrili baton k dank mar ker meray zinda wajood may mojood rooh ko zakhmi zakhmi ker k sisak sisak k marnay k liye chore daitay hain ........ Per ab durd itna nahi hota jitna pehlay hota tha......... Shayad ab adat hogai hay........ ya sochnay samajhnay aur mehsoos kernay ki salahiat he sun ho ker reh gai hay........ Jo bhi kuch hay......... Acha he hay........... K durd ko bhi ab durd ka ahsas nahi hota........... Fehmida Chaudhary

Be-Hiss......

Kabhi socha hay Mohabat kia mangti hay...Her cheiz k badlay, her sheh k badlay sirf yaqeen aur izhar....Agar ye izhar , ye yaqeen tumharay pass nahi hay tou batao na....tum say he mohabat kyoon ki jaye..... Kyoon na ??? Ghar say bahar rukhay pather say mohabat ker li jaye....?????? Wo bhi kuch sunnay ga nahi... Kuch bolay ga nahi... Magar phir bhi tumse behtar hoga.... Kyoon k Us per mausam asar andaz bhi hota hoga .... Garmi may hiddat aur sardi may yakh basti ka ahsaas tou milta hoga chooo ker.... Barish may bheegay ga bhi, nikher bhi jaye ga... Aur ho sakta hay ..!!! tumhari terha sub kuch sun sakta ho... Kuch kehna bhi chahta ho....per tumhari terha kehnay say mazoor ho... Tumhari terha he apnay andhairon may rehna chahta ho.... Apnay andar dhairon mohabat rukhta ho ...per bas wo wahin ka wahin he para rehta ho.. Haan!!! Tum say behtar tou wo pather he howa na..... K usay apni mohabat say tarasha tou ja sukta hay...Aur sub say berh k

Himmat....

Zindagi k nashaib o faraz may aisay lamhay bhi atay hain...Jab insan bilkul na-umeed ho jata hay aur us may muqabla kernay ki saakat khatum ho jati hay.... ye baat insan ki azmat k khilaf hay...Duniya may tarraqi hona insan k azam aur mehnat ka nateeja hay aur insan ko ye azm o himmat Allah ki taraf say wud'diat ki gai hay... Insan ko kisi bhi muqam pay himmat nahi harni chahye ..Balkay jurat o himmat say paraishaniyon ka muqabla kerna chayey agar insan himmat karay tou kia nahi ker sukta ... Her nakami k bad kamyabi hamarai muntazir hoti hay...ba-shart ye k hum himmat na harain..Allah bhi ba-himmat logon ki madad kerta hay aur unhain pasand kerta hay... Is liye insan ko azam o himmat ka daman hamaisha thamay rehna chayey ....

Log...

Kuch log jo apnay nahi hotay...Laikin....phir bhi apnay say lagtay hain... Zindagi ki wo nazuk aur anmol ghariyan jo un ki rafaqat may guzari jain, unmit nishan ban ker dil k nehan khanon may bikhar jati hain aur unki judai ka tasavur he aik aziat nak ahsas ban ker saray wajood per chah jata hay... Unka hath tham ker duniya ki bheer may chahe kitni mazboti say qadam jama ker chaltay jaeye laikin gum honay ka khudshah, bicharnay ka khauf hamaray la-shaore may chupa rehta hay.. Fehmida Chaudhary

Zindagi....

Zindagi kuch logon k liye phoolon ki saij hoti hay aur kuch logon k liye kanton bhara taj...Hoslamand aur aala zarf insan her qism k halat ko sabr hoslay aur khunda paishani say bardash kertay hain... Dukh aur ghum k waqt sabr o raza ki tasveer ban jatay hain tou khushi aur musarat may apay say bahir nahi hotay... Asay log he maushray aur Allah ki nazar may moatabir tehertay hain..Ye muqam youn he nahi mil jaya kerta ... Is k liye barson riyazat kerni parti hay... Apnay maan ko marna parta hay...Apni tarbiat khud kerni parti hay...aur phir zindagi ka safar bohat he sehal, bohat he asan ho jata hay.. Fehmida Chaudhary