Phir dil udas hay...phir nas nas main zehreli sochain khoon ki jaga dorrti phir rahi hain...Phir kuch toota hay ander he ander...Magar ..... Kia..... ? Na janay kia...tootay wajood main phir aik gunjaish nikal aye aik bar aur tootne ki....Kuch tou toota hay per kia toota hay...Dil....nahi nahi....Wo tou kab ka toot chuka hay...us main ab sakat baqi kahan hay ... Astarkari ki gunjaish bhi nahi ab tou us main... Tou ye awaz kaisi aye .....? Shayad Aetibar toota hay... Shayad Wo jo khush fehmiyon ka jaal bunna tha na main nay.... wo toota hay... Haan shayad aisa he hay.... Per mujhay ye paraishani kaisi....? Mujhay tou aadat hay..... Roz toot k bikhar janay ki.... Phir khud he himmat ker k simmat janay ki... Aur simmat k dobara bikhar janay k intizar ki.... Aur is amul ko bar bar hotay dekhtay janay ki.... Shayad Aadatain kabhi khatum nahi hoti..... SHayad Bar bar tootnay k amul say lay ker jurnay k amal tak Hum apni zaat ki bunyadon main Mazeed sabr ki pukhtagi ka ...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC