Skip to main content

Na Umeedi....

Na Umeedi ka zeher jab aik dafa ap ki sochain main ghul jaye tou ap Aas k tamam daman chore daitay ho...Kuch acha nahi lagta ... Apna ap bhi....dil o demagh per yasiat ki gird jam jati hay... sans laina dobhar lagta hay...

Zindagi itni durdnak hay tou moat ka kia alam hoga... Hum duniya k haray howay wahan kia umeed karain gay wahan k liye ...

Meray Malik mujhay is bat ka jawab chaheye ... Mere saath aisa kyoon hota hay... jisko ungli pakar k chalna sikhati hon..wo chalnay per sub say pehlay mujhay he apnay qadmon tallay rond dalta hay...

Kisi k saath jitni dore bhi chalon... usko jab chorna ho wo chore jata hay...

Jis ki dhal ban ker usko dosron ki kankariyon se bachao wo mehfooz ho ker sab say pehla waar he mujh per kerta hay...

Badla na laina meri fitrat hay...Log isay meri kamzori gardante hain...

Meri khamoshi mere ander bardash ki had khatum honay ka ailan kerti hay...

Main perfect nahi... Main perfect ho bhi nahi sakti... Per main duniya jaisi bhi nahi hona chahti...her koi apnay apnay matlab ka ... mohabat ka faraib.... kehtay kuch hain kertay kuch hain...

Mujhay manzil tak poncha day ya mujhay her bat se begarz ker day.........Apni pannah main lay ker is duniya say dil ochat ker day....Mera jeena marna tujh se shuru ho kr tujh per khatum ho jaye....Warna meri moat ko asan ker day.....Suna hay jasd e khaki ...khak may mil ker chain pata hay .... shayad meri bechain rooh ko isi terha qarar ajaye.... Meray bad mujhay ronay wala koi nahi ... isiliye main apnay liye pehlay say he bohat ro chuki....ansoo khushk ho chukay meray...mujhse ab roya nahi jata...

Mujhay itna yaqeen hay k sub ki terha Aap mujhay akaila nahi chorain gay... I love U Allah mian.. Mere dil ko TU apni talab main laga de... Mujhay duniya se beparwa kerday mujhay hosh o hawas se begana ker day......Mujhay apni pannah main lae lay Malik...Meri soch meri sansain meri zindagi meri umeedain meri hansi mera yaqeen sab zakhmi zakhmi hain...Marham rakh day in per...
Masiha hay TU tou....Masehai ker day.............mujhay na umeedi ki daldul say nikal day...ameen

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.