Skip to main content

Khush fehmiyon ka jaal..................

Phir dil udas hay...phir nas nas main zehreli sochain khoon ki jaga dorrti phir rahi hain...Phir kuch toota hay ander he ander...Magar ..... Kia..... ?

Na janay kia...tootay wajood main phir aik gunjaish nikal aye aik bar aur tootne ki....Kuch tou toota hay per kia toota hay...Dil....nahi nahi....Wo tou kab ka toot chuka hay...us main ab sakat baqi kahan hay ... Astarkari ki gunjaish bhi nahi ab tou us main...

Tou ye awaz kaisi aye .....?
Shayad
Aetibar toota hay...
Shayad
Wo jo khush fehmiyon ka jaal bunna tha na main nay....
wo toota hay...
Haan shayad aisa he hay....

Per mujhay ye paraishani kaisi....?
Mujhay tou aadat hay.....
Roz toot k bikhar janay ki....
Phir khud he himmat ker k simmat janay ki...
Aur simmat k dobara bikhar janay k intizar ki....
Aur is amul ko bar bar hotay dekhtay janay ki....
Shayad
Aadatain kabhi khatum nahi hoti.....
SHayad
Bar bar tootnay k amul say lay ker jurnay k amal tak
Hum apni zaat ki bunyadon main
Mazeed sabr ki pukhtagi ka cement daltay hain...
Aur apni zaat ki dhaa'ey howi imarat ki bunyadon ko mazboot kerte jatay hain...
Aur youn
zindagi k safar main hum berhtay he jatay hain.....
Chaltay he jatay hain....
Chaltay he jatay hain....

Written by Fehmida Chaudhary
16 March 2012

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.