Main abhi tak soi howi hon is duniya k sardkhanay main jahan sard jazbon k hamil log jin k barf jaisay lehjay hain... meray ander ki sub hissyat sab narm garam jazbay in baraf ki silon main rehtay rehtay pighal ker beh gaye hain... Mere lehjay ki chashni munjamid ho ker reh gaye hai Meri ankhon ka pani kahin baraf ban ker atak gaya hay... Ajab halat hay k na zindon main shumar hoti hon na murdon main Mujhay is sard khanay say nikalo na... Mera yahan dam ghut'ta hay... Lagta hay jaisay sans k liye hawa bhi nahi rahi baraf ban gai ho wo bhi... Mujhay kuch taza hawa chaheye apnay jeenay k liye... Mujhay is barf k shehr say nijat chaheye... Mujhay azad hawaon main urna acha lagta hay... Mujhay phoolon ko choona...uski khusboo songhna acha lagta hay... Mujhay urtay pareenday bhalay lagtay hain... Mujhay samander kinara acha lagta hay... Mujhay chand ki chandni aur soraj ki kirnain roz naya paygam deti hain jo meray murda jism main aik nai rooh phoonk jati hai...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC