Skip to main content

Mujhay dafna do na...........

Main abhi tak soi howi hon
is duniya k sardkhanay main
jahan sard jazbon k hamil log
jin k barf jaisay lehjay hain...

meray ander ki sub hissyat
sab narm garam jazbay
in baraf ki silon main rehtay rehtay
pighal ker beh gaye hain...

Mere lehjay ki chashni munjamid ho ker reh gaye hai
Meri ankhon ka pani kahin baraf ban ker atak gaya hay...
Ajab halat hay k na zindon main shumar hoti hon na murdon main

Mujhay is sard khanay say nikalo na...
Mera yahan dam ghut'ta hay...
Lagta hay jaisay sans k liye hawa bhi nahi rahi
baraf ban gai ho wo bhi...
Mujhay kuch taza hawa chaheye
apnay jeenay k liye...
Mujhay is barf k shehr say nijat chaheye...

Mujhay azad hawaon main urna acha lagta hay...
Mujhay phoolon ko choona...uski khusboo songhna acha lagta hay...
Mujhay urtay pareenday bhalay lagtay hain...
Mujhay samander kinara acha lagta hay...
Mujhay chand ki chandni aur soraj ki kirnain roz naya paygam deti hain
jo meray murda jism main aik nai rooh phoonk jati hain...
Suno mujhay intizar kerna acha nahi lagta...
Khudara .....
Ya tou meray jism main chuphi soiyan nikal jao ....
Ya tou mujhay is sard khanay say nijat dila do....
Ya kuch bhi na ker pao....
Tou ik akhri ahsan he kerdo...

Mujhay kahin dafan he kerdo...
K
Meri rooh ko qarar milay....

Ye jo zindagi meray barf zada jism main munjamid ho ker reh gai hay na ye miti main mil ker he apnay anjam ko pohanch jaye....

Suno main bohat thak gai hon...
Bohat ziada....
Mujhay dafna do na .....

Fehmida Chaudhary
16th september 2012

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...