Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2012

Time Pass.....

Duniya main reh ker ab tak jitnay logon say main mili hon....sub k sub apna time pass ker rahay hain...jhootay faraibi...khayal, mohabat, fikr ka faraib de ker....der hakikat tou wo apna time pass kertay hain hay.....Sirf time pass.... Meri galti ye k main shor nahi machati kamon ka , masroofiat ka....kia wahwaila kerna jab kerna he tehra....Time kab hota hay kisi k pass...time tou nikalna perta hay....per nahi time nikalna he nahi chahye....apni zaat ko bhi kuch waqt dena chaheye....akhir ko hamain khud he khud k kam ana hota hay.... Duniya main ik cheeze jo heeran si ker daiti hay wo ye k ... jo log bari bari batain....daway kertay hain wo he sub say ziada zaat k bonay hotay hain...khokhalay daway , lafzon ka jaal daal ker samanay walay ko maroob kernay ki koshish main masroof k hum tumharay k liye mukhlis hain....Mera manna hay k lafzon ya baton say ziada insan kuch ker k samnay walay ko unkaha sa ahsas de jaye k hamain tumhara khayal hay...

Meri Nakamyabiyon ki wajah.....

Mere dil o demagh aik he nuqtay per markooz hain ..kab say ander he ander main ye soch rahi hon k main zindagi k maidan main Nakamyab kyoon tehri.....? Jab zehan main khud say kai sawal pochay tou apni he zaat main beshumar khamiyan nazar aain....Haan main duniya jaisi nahi hon isliye he shayad nakamyab hon....ujri howi hon....berang hon... Main doghli nahi hon bas....jo maan main aye baat keh dali ...na agay socha na peechay ...jo hay so hay.... Mujhay main aur bhi aik khami hay...mujhse haan main haan nahi milai jati.... Mujhay shatranj ki chalain khailni nahi ati....Samnay acha ban ker paish ana aur peth peechay bura bhala...mujhse aisa nahi hota..... Mujhay tou ye tak nahi ata k ....waqt aur haalat k lehaz say apni statements main tarmeem ker laina....Mujhay tail aur tail ki dhar dekh ker chalna bhi nahi ata.... Main is duniya k logon ki dor main bhagna tou dore ki baat hay...chaal bhi nahi sakti..... Main nay na tou haar mani hay aur na he main jeet pai hon....Main nay tou

Malal na kerna.....

Tum jo meray khooni rishtay ho....kehnay ki had tak he sahi....per kia kabhi aisa howa hay tumharay saath k bethay bethay he ankhain bhar aye hon.....ankhon say ansoon ka ik sailab rawan hogaya ho....kia howa hay aisa kabhi ? yaqeen jano agar howa hay na tou tum mano ya na mano.....Ye meri ankhain yahan roi hain na durd o ghum ki shiddat say tou ye ansoon ka salaib tumhari ankhon say rawan howa hay....Magar tum nahi mano gay....tumharay dil per kufl lag chuka hay behissi ka....bedardi ka....Sonay ka kufl....dolat ka kufl jiski chabi Dil ki narmi aur reham thi.....per wo tou kho di tumne...dolat k anbar talay.... Tum Khuda say kyoon ker koi gillah kar sako gay k wo tum per reham nahi kerta....jab tum us Khalq e Khuda per reham nahi kertay...? Tum nay kaha tha na tum soye nahi kuch dino say....aur mera kia ? jis ko chain say soye howay bhi arsa beet gaya .... ungliyon per gin sakti hon ik ik neend ka pal.....jo kam he naseeb howa mujhay.... Tum so bhi kaisay saktay ho....tumko cha

Jism k buyopari........

Duniya k bazar main her cheez ki koi na koi keemat hay...jazbon ki....izzat ki....achai ki ....burai ki...is duniya k bazar main baap bhai ho k shohar beta.....apni ana apni hatdharmi apni so called izat k liye jab maa beti behen jaisay rishton ko apni zarooraton k mandir per bhaint cherhatay hain tou .....in mardon ko koi kyoon nahi pochta...wo mazboot hotay howay kyoon in aurton ko istimal kerta hay...kyoon....? usko ye mashra kyon JISMON ka buyopari nahi kehta.... Aurat pait ki aag bujhanay k liye inhe mardon k hathon majboor bebas ho ker inki shaitaniyat ka shikar ho ker bhi.....Wohi aurat buri hay.....Wohi maushray ka nasoor hay....Aur ye jo mard nam k bhai betay baap jaisay rishton k buyopari darindon ki manind in aurton ko rasmon ki bhaint cherhatay hain ya virasat taqseem kernay say bachnay k liye in k hakook ka ahsisal kertay hain......wo bhairiye tou us tawaif say bhi gaye guzray hain jo roz apnay pait poja k liye un ko apni adaon ka soda kerti hay...... Ye mard tou us t

Sehaili.......

Main apni zaat k tareeq seelan zada teeh khanay main bachi kuchi zindagi k pal gin gin k guzar rahi thi....guzar he nahi rahay thay ye pal......din tou dore ki bat hay.... Dil k zang zada Derwazay pay ik namanoos si dastak ki awaz gongi ik roz....main tanhai say naraz thi bhag ker darwaza khol bethi....wo darwaza jis ko band howay aarsa beet chuka tha....zangalood dil ka zangalood darwaza...aur ik namanoos si shakal meri zaat k teeh khanay main dakhil ho gai....main bebas si thi....rok bhi na saki.... Main us ko sehaili bana bethi....Usko apna hamraaz bana lia aur pata bhi chala khud mujhko....meri zaat ki pert der pert kab utar ker girti gain.....main khud mehsoos na ker paye....main jo khud apnay khol main arsay say band thi......us hisar ko paar kia kya maine......main badal gaye..........meray hath main na us waqt kuch aya jab main chuphi pehaili thi na he tab kuch hath aya jab apni zaat ki tasheer kerdali.... Main nay jo perhka jo samjha wo ye he hay k jab tak hum apni zaat