Skip to main content

Malal na kerna.....

Tum jo meray khooni rishtay ho....kehnay ki had tak he sahi....per kia kabhi aisa howa hay tumharay saath k bethay bethay he ankhain bhar aye hon.....ankhon say ansoon ka ik sailab rawan hogaya ho....kia howa hay aisa kabhi ? yaqeen jano agar howa hay na tou tum mano ya na mano.....Ye meri ankhain yahan roi hain na durd o ghum ki shiddat say tou ye ansoon ka salaib tumhari ankhon say rawan howa hay....Magar tum nahi mano gay....tumharay dil per kufl lag chuka hay behissi ka....bedardi ka....Sonay ka kufl....dolat ka kufl jiski chabi Dil ki narmi aur reham thi.....per wo tou kho di tumne...dolat k anbar talay....

Tum Khuda say kyoon ker koi gillah kar sako gay k wo tum per reham nahi kerta....jab tum us Khalq e Khuda per reham nahi kertay...?

Tum nay kaha tha na tum soye nahi kuch dino say....aur mera kia ? jis ko chain say soye howay bhi arsa beet gaya .... ungliyon per gin sakti hon ik ik neend ka pal.....jo kam he naseeb howa mujhay....

Tum so bhi kaisay saktay ho....tumko chain aa bhi kaisay sakta hay.....jab k main BE KAL hon ik zamanay say...ye ankhain soye nahi ....per yaqeen mano tumhari takleef ab bhi dil ko ranjoor kerti hay ... meri koshish hoti hay k main kuch pal he so paon tah k tum bhi neend k kuch pal hasil kerlo....

Ye duniya khaiti he tou hay...jo hum botay hain wo kat'tay hain...Kisi k dard per ankhain band ker lainay wali ankhain kaisay bhala so sakti hain.....Jis din tumhain chain aye tum jaan laina main chain say hon...jis din tumhain neend aye samajh laina us din main bhi chain ki neend soi hon.....

Per aik bat hay....
Main nay dil per say sardmohri ki baraf sirka ker ab foladi sil rakh li hay....k baraf tou akhir phighal jati thi...tou dil apnon ki yaad main phir un k liye dua go ho jata tha....

tum aik kam kerna....
Kabhi tou apnay kiye per malal mehsoos ho tou tum MALAL NA KERNA....

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.