Skip to main content

Sehaili.......

Main apni zaat k tareeq seelan zada teeh khanay main bachi kuchi zindagi k pal gin gin k guzar rahi thi....guzar he nahi rahay thay ye pal......din tou dore ki bat hay....

Dil k zang zada Derwazay pay ik namanoos si dastak ki awaz gongi ik roz....main tanhai say naraz thi bhag ker darwaza khol bethi....wo darwaza jis ko band howay aarsa beet chuka tha....zangalood dil ka zangalood darwaza...aur ik namanoos si shakal meri zaat k teeh khanay main dakhil ho gai....main bebas si thi....rok bhi na saki....

Main us ko sehaili bana bethi....Usko apna hamraaz bana lia aur pata bhi chala khud mujhko....meri zaat ki pert der pert kab utar ker girti gain.....main khud mehsoos na ker paye....main jo khud apnay khol main arsay say band thi......us hisar ko paar kia kya maine......main badal gaye..........meray hath main na us waqt kuch aya jab main chuphi pehaili thi na he tab kuch hath aya jab apni zaat ki tasheer kerdali....

Main nay jo perhka jo samjha wo ye he hay k jab tak hum apni zaat ko apnay tak rakhtay hain humari infiradiat rehti hay.....jab hamaray ander ki batain dosron ko pata lag jain tou hum Aaam se bhi gai guzray ho jatay hain....

Main usko apna dost samjhon k dushman ..jisne mere ird gird ki sari devarain gira di...main ab khulay asman talay khari hon....zakhm khorda ....tanha.........aam say bhi gai guzri.........ik pagal si bandi....

Main ab us muqam pe aan ponchi hon..jahan mujhay her chehra aik sa he lagta hay....dushman sa...
Main apni zaat ko phir say aik bar qaid kernay jarahi hon...jahan sirf main hon...sirf main....dosra koi na ho...duniyadari tou hay he milna bhi  perta hay....per faslay hamaisha dermiyan rahain gay....koi umeed hogi na he takleef hogi ...mujhay aik bar phir se khud ko badalna hay....meri pichlay safar k aablay ab tak mere pairon main paray hain...aur ab phir aik naya safar hay.........zeest k jangle main tanha ..nangay paon ....chaltay he jana hay ...jab tak jan main jan hay

Fehmida Chaudhary

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.