Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2016

Alvida..........

Haan magar zindagi to rawa dawan rahay gi na...kab kon kisi ki khatir rukta hay...sb daway hain bekaar say....ehad paimaan....wada kuch nahi hota ....ye wo naa deeda zanjeerain hain jo waqti tor per insan ko black mail kernay k liiye hotii hain...koi kia janay k rishta koi bhi ho...her chahat he zakhm deti hay....so tmhari chahat konsa sub se sawa thi...wo bhi ander tak tor gai mujhko...ab na raiza raiza jurnay ka imkan hay na he yaqeen kisi per ....sochti hon tumhain aik baar to btaon keh zakhm kitnay teri chahat nay diye hain mujhko.... per chal chor ................janay de....... ja chor ja mujhay meray haal per... mujhay khud apnay aap pe muskuranay de..... ab sub kuch mujhko bhoool janay de..... Fehmida Chaudhary 16th March 2016

Taaluq....

Kuch rishte kuch taaluq zakmoon ki terha hotayhain...jo hamaisha takleef ka bais he hotay hain...is se pehlay keh ye zakhm nasoor ban jaye ... aisay taaluq ko foran se paishter khud se alag ker daina chaheye... Tumhara aur mera taaluq bhi zakhm bn chuka hay...aur ab nasoor main shamil honay wala hay..is say pehlay k ye nasoor boo denay lagy aur aik waqt aisa aye k is rishte main keray he keray per jain...Ao is se pehlay k kuch yaadgaar lamhoon ki khushboo bhi in nasooron ki badboo se khatum ho jain...hum apnay rastay badal lain...is ehad k saath k ab k tajdeed e wafa ka nahi imkaan jannah... Fehmida Chaudhary 16th March 2016

Zinda dargour....

Puranay zamanay main maa baap apnay hathon se khud apni betiyon ko mitti may dafan ker k beperwah ho k gharon ko chalay jatay thay....itminan ki neend sotay thay....tamam tafakurat se azad ho jatay thay.... Log kitna bhi kahain k ye jaheelana rasm thi ya ye zalimana rasm thi....per mujhay ye rasm bht achi lagti hay....chaheye koi kitna bhi kahay k ye buri rasm thi aur hay.... Shayad wo is bat se aagaah thay k roz roz k marne se bht behtar hota hay aik he bar marna.... Fehmida Chaudhary 11th March 2016

Rujoooh....

Kehtay hain jab takleef ki shidat bardasht se ziada berh jaye to insaan apnay apko majbor lachaar aur bebas mehsoos kerta hay aur isi bebasi k aalam may agar wo dil se Allah ko pukarta hay to wo pehli awaz per he apni rehmat k der us per waa ker deta hay... Aur ye lamha jab k khaliq e duniya...Rab e kainaaat pori tawajooh se hamari baat sunta hay to us lamhay ko zaya kernay k bajaye us se faida uthana chahiye...Aur...pori khaloos e niyaat k saath US k hazoor rujooh kerna chahiye...WO bara he raheem hay...Rujooh kerna shart hay ... wo bhi khaloos e dil k saatha aur is ahad k saathe bhi k her achay buray waqt may USKO hamaisha yaad rakho gay,,,USKI pukaar per doray chalay aogay....Us se maang k dekho kabhi bhi koi dua rad nahi hogi..Jo cheiz tum baraey rast apnay RAB se mango gay wo kisi aur se mang k khud ko mushkilon main mat dalo kyoon k kissi ko dua may sahara banana khud USKO bhi napasand hay...aur wo to insan ki apni shah raag se bhi nazdeek hay na.... Fehmida Chaudhary....

Raakh k phool.......

Mohabat ko tersay howay loag hamaisha nafrat k mustahiq he kyoon hotay hain? Tersay howay logon ko to seerab kia jata hay na...na k unki ankhon tak ki nami ko nachore lia jaye takleef de de k ....aik bond bhi na chori jaye un k jism main....jo ronay ki koshish main ankhon ko nam he ker day.... Ye jo mohabat k tersey howay loag hotay hain na ...inko ap gaur se dekhain to inki ankhon main dukh ka samandur sakit hota hay....per hont hamaisha muskurate he rehte hain... ye muskurahat unki khushyon ka pata nhi deti ...balkay ye to un ghamon ko is parday tale chupanay ka ik zarya hain....Ye wo loag hotay hain jo ik zara c tawajoo ....zara se pyar k badlay ap per jan luta dain gay... aur phir ap bad main unse jitna bura salook bhi kerlo ye hamaisha ap k he rahain gay....apki aik choti c mohabat ki bheek k aewaz ye apni Aana ....apna Aap  ap k pass girwi rakhwa dete hain.... ye masoomiat inhain bohat bhari perti hay....bohat mehngi...per ye lutay howay log kashkool me pari kisi ki zara c mo

Sheeshay ki guriya.....Pather c duniya.....

Maa tera kehna yaad hay mujhko... bulbul c chehakti ... chanda si chamakti... ye meri beti,,,,hay kitni pyari... sitara ankhain...damakta chehra... hain baal lambhay aur naak sit'waan, rang hay sunera... moam sa dil tha ... chalay jesay GURIYA.... Main thi teri rani... main thi teri jaan Tu kehti thi na maa k meri hansi hay jese mandir me ghantiyaan baj rahi hon... main bolon to goya kalyan gulistan main chatakh rahi hon... Maa teray qaseeday mujhay yaad aain.... jab ankh naam hon to yaadain se akser hont muskura jaain.... Maa wo teri mamta....wo teri pyar bhari ankhain...... Kahan se laon? Kahan pe dhondhon.... Apna nishan nahi milta hay mujhko.... Maa tu aaja....mujhay bhi lay ja... Mera man yahan pe lagta nahi hay... Koi darwaza khushi ka khulta nahi hay... Her shaks yahan pe fankaar bht hay... Faraibi hay duniya....aetibar k kabil nahi hay... Achai k libaday main shaitaan phirte hain... jisay apna samjho wohi raahzun hay... Maa ye kesi hay duniya.