Skip to main content

Raakh k phool.......

Mohabat ko tersay howay loag hamaisha nafrat k mustahiq he kyoon hotay hain?
Tersay howay logon ko to seerab kia jata hay na...na k unki ankhon tak ki nami ko nachore lia jaye takleef de de k ....aik bond bhi na chori jaye un k jism main....jo ronay ki koshish main ankhon ko nam he ker day....

Ye jo mohabat k tersey howay loag hotay hain na ...inko ap gaur se dekhain to inki ankhon main dukh ka samandur sakit hota hay....per hont hamaisha muskurate he rehte hain... ye muskurahat unki khushyon ka pata nhi deti ...balkay ye to un ghamon ko is parday tale chupanay ka ik zarya hain....Ye wo loag hotay hain jo ik zara c tawajoo ....zara se pyar k badlay ap per jan luta dain gay... aur phir ap bad main unse jitna bura salook bhi kerlo ye hamaisha ap k he rahain gay....apki aik choti c mohabat ki bheek k aewaz ye apni Aana ....apna Aap  ap k pass girwi rakhwa dete hain.... ye masoomiat inhain bohat bhari perti hay....bohat mehngi...per ye lutay howay log kashkool me pari kisi ki zara c mohabat ko dekh k phir jee uthtay hain...shayad phir marnay k liye....

Main jo aik veeran sirzameen ki manind sadyon se dukh ki jalti dhoop main jal rahi thi...Na jane kisne is zameen main haryali uganay ki jurat ki thi aur us aik shaks k honay k ahsas nay mujhay banjh se zarkhaiz bana dia tha ... aur phir dhalti sham k sath wo b rukhsat howa...Ab her subha dhoop ki tapish mujhay jalati hay aur raakh kerti hay .... dekho tumne to zarkhaizi di thi na ...usme aik phool khila hay....RAAKH KA PHOOL...........


Fehmida Chaudhary
6th March 2016

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.