Maine zindagi main wo dukh bhi uthaye jo kabhi soche bhi na thay... Apnay hissay k dukh ki to baat alag hay...maine dosron k dukh bhi uthaye hain... mujhay nahi maloom mene aisa kyoon kia per mujhay ye maloom hay k meri bari ane per un sb k chehron se nakab uter gaye....jinhon ne apnay dukh mujhay daan kiye thay .... Intizaar mout jesa hota hay...aisa suna tha....per ye us jaisa nahi...ye mout he hay... aur ab mout k daahanay per khari main....mayoosi se daldal main dhans chuki hon...mujhay lafazi se chir hay....mujhay alfaz moam nahi kerte...main kabhi bhi priority nahi rahi...mujhay jhoot se ...jhoote wadon se chir hay....aise log mere dil se uter jate hain... dil se uter jane main AUR dil se nikal jane main farq hota hay....bohat bara farq.... dil se uter janay wala dil se nikal bhi jata hay....aisa zaroori nahi....dil me basne wale aasaib ki terha hote hain...chimat k he reh jate hain ...dil k sath...zindagi k saath... Maine ye dekha hay k paisa itni bari taq...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC