Skip to main content

Na junoon raha na PARI rahi.....

Usey rangon se pyar tha gehray shoakh rangon se ... phool chahe wo konsay bhi hon us k dil ko bohat bhataay thay....hathon me motiyon k gajray pehnay ki khawish bhi rakhti thi....shairi perhna aur likhnay ka bhi chaghaaf rakhti thi....tanhai se khauf khati thi...andhera usay khaufzada ker daita tha.... titliyon k pechay bhaga kerti thi wo bachpan main... per kabhi unhain pakernay ki jurat nahi ki us ne .... usay in titliyon ka urna  pasand tha....azad idher se udher rangeen phirti titliyan .....Baaz dafa aisa bhi hota wo ankhain mond ker khud ko titli samajhti aur khuli hawa main uraan bhar ker khud ko mehzooz kerti ....
Ajab he pagal pan k shauq thay us k.... usay ghar bananay aur sajane ka shauq tha.... bachpan main jab mitti k gharonday banati aur wo toot jatay to wo roya kerti ... us k ghar ki kachi mitti ki kiyariyan aj bhi usko yaad dilati .... wo chotay chotay chozay jo maa se zid ker k bachpan me wo lia kerti thi .... rooi k galon ki terha k pyare pyare murgi k bachay ....per pata nahi kyoon wo mar jatay thay kuch he din main...wo qabrain jin me unko dafan kia tha usne bachpan main...ajj bhi wo jagahain yaad thi usain ...wo pichi taraf kayari main nariyaal k paire k neechay ..peelay rang ka choza dafan tha...pata nahi kitnay mahino tak bakaidgi se us per lawn se phool le ker cherhati thi wo.....ghar k front lawn me wo shocking pink color ka choza .....pyara sa....bohat choo choo kerta tha wo ....ami kehti thin bilkul meri terha.....ha ha ha ....
Usay yaad tha k aik ka nam usne chunu rakha tha aur dosre ka munnu....

Chunnu ki choo choo to us k marne k baad bnd ho gai thi....per jis din wo maari thi na to us ki qabr bani na he kisi ne phool cherhaye ....na koi roya tha usay......us ki awaz us me he dafan ho gai thi.....kia ye khula tazaad nahi....k wo jeete ji mari thi to uski choo choo band hogai ....chunnu ne mar k choo choo kerna chora tha....


Fehmida Chaudhary
2nd July 2016

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.