Skip to main content

Be rabt si batain.......

Maine zindagi main wo dukh bhi uthaye jo kabhi soche bhi na thay... Apnay hissay k dukh ki to baat alag hay...maine dosron k dukh bhi uthaye hain... mujhay nahi maloom mene aisa kyoon kia per mujhay ye maloom hay k meri bari ane per un sb k chehron se nakab uter gaye....jinhon ne apnay dukh mujhay daan kiye thay .... 

Intizaar mout jesa hota hay...aisa suna tha....per ye us jaisa nahi...ye mout he hay...
aur ab mout k daahanay per khari main....mayoosi se daldal main dhans chuki hon...mujhay lafazi se chir hay....mujhay alfaz moam nahi kerte...main kabhi bhi priority nahi rahi...mujhay jhoot se ...jhoote wadon se chir hay....aise log mere dil se uter jate hain...

dil se uter jane main AUR dil se nikal jane main farq hota hay....bohat bara farq....
dil se uter janay wala dil se nikal bhi jata hay....aisa zaroori nahi....dil me basne wale aasaib ki terha hote hain...chimat k he reh jate hain ...dil k sath...zindagi k saath...

Maine ye dekha hay k paisa itni bari taqat hay k insan dosre no per rehta hay... shayad duniya k bazaar me insan bhi bikta hay.... per wo kehta nahi hay....k wo bikao hay....

Mujhay yaad hay aik dafa usne bhi bola tha ...k main ghattay ka sauda nahi kerta....aur nuqsan jisme ho wo kam main nahi kerta....

Mujh pagli ko dekho...her choti choti cheiz yaad rakhne wali...ye baat bhool bethi thi....
Mujhy is dukh se nibatne main kai saal lag gaye.... sirf ye baat samajhne main kai saal lag gaye...
mujhay marne ko na auzaar darkar hay koi...na aah o zaar he zarori hay...

yehi dosra darja dena he kafi hay .... main khud he mar jaongi...


Fehmida Chaudhary
31 july 2016

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.