Skip to main content

Posts

Showing posts from September, 2016

Udhaar PAY ...Rishtay....

Wo ajj phir apni diary likhne bethi thi.... Qalam safhon ko kalay ker raha tha..Maine diary uthai aur pehne lagi..... wo likhti thi.....keh Maine apnay faraiz pori taan o maan k saath nibhanay ki koshish ki thi ...hamaisha he say...Per na janay kyoon mujhay jab bhi koi rishta mila...."UDHAAR" pay he mila....chand ghantay ....chand lamhay, chand second ...Main hamaisha se he her jaga second choice rahi hon... Maine hamaisha "POORAY" pay "ADHAY" ka soda kia hay....Kasaara he aya hay hamaisha meray hissay main...Per nafaah bhi kab khushi ki zamanat bana hay...? Maine dekhha hay jo khidmat, khaloos, pyar k moal rishtay nibhatay hain ...wo haar jatay hain...apna sab kuch waar k bhi ...Aur....wo jo tilismi lafzon k jaal buntay hain aur jin k qaul...amal se khali hain wohi jeet jatay hain....kuch na ker k bhi....un k lafzon ki jadugari na janay kaisay khareed laiti hay logon ko....jab keh...log unhain jantay bhi hain....k wo kia hain...aur kia d

Khud'daar Sawali....

Yahan kon...? Kab....? Kisko chahta hay..... Aur agar chahta bhi hay tou wo Hasb e aarzo he chahta hay.... Uski talab  talab tehri... Aur uska KYA...? Jisay Mangna he na aata ho.... Fehmida Chaudhary  12th September 2016

Aisa nahi tha....

Aisa nahi tha k wo dhokay dene walon ko pehchanti nahi thi....Wo dhoka tab tak jaan bojh k khati thi jab tak samne wala ahsaas e bartari main mubtila nahi hojata tha k wo aik acha dhokay baz hay... wo her baat main he inteha pasand thi...her aziat ko inteha tak mehsoos kerna pasand tha usay...ye aziat pasandi usay zindagi k us mor per lay ai thi k wo chup reh k zakhm paalti thi dil k ander he ander ... uska dil uski qeemti tajoori tha ...jiski chabi kisi k pass bhi nahi thi...aur milti bhi kaise wo chabi ...wo chabi to usne dil e zang'zada ko taala mar k ...tareek raaton main tanhai main bahaey ansoon k railaay main....wo chabi phaink ai thi....  Fehmida Chaudhary 11th September 2016

Farq...

Pichly Zamanay main umr main baray log...apnay zarf ki wusat se apna bara pan sabit kertay thay....un k rawaiyon aur atwaar main bara pan tha...choton se shafqat , unki galtiyon pe sarzanish ker k unko mauf  ker dainay se un ki aala zarf i ka pata chalta tha..... Aur  Ab baray log wo hotay hain jo tajoriyon main maal rakhte hain.. Baat to sach hay per baat kerwi hay... Fehmida Chaudhary 7th September 2016