Wo shayad bhool chuka tha keh maine usay btaya tha keh main had darjay aziat pasand hun. Khud aziati sehna chotay dil walon ka kaam nhi. Is k liye asab mazboot aur Dil chaa'taan hona chahiye. Apnay apko nit nay tareeqay see zich krnay ka alag he maza hy...Aur jo koi dosra aisa kernay ka sochy mere saath to main uska bhi pora pora saath deti hun. Usay lgta tha main toot k giron gi aur mar jaongi. Per aisa to tb hota na jab main is k liye zehni tor per tyar na hoti. Is se berh k kya saath nibhaon k maine uski likhi kahani k kirdaar ko bagair script ke waisey he nibhaya hay jese wo chahta tha. Ye jo muskurahat hy na mere labon per ye maa'nd nahi perhnay wali. InshAllah Dekh ker undekha krna aur andha honay main bohat farq hota Hy. Alfaaz ka zakhera honay per bhi chup hojana kamzori ki alamat nhi hoti leehaz ka pass hota Hy. Jhoot jantey howay bhi kisi ki khushi k liye her bat sach maan lena bhi aalazarfi hy per kamzarf logon ka Kia lena dena. Written by Fehmida Chaudhary...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC