Skip to main content

Taqq Raat ki maqbool dua..

Main ajj momi ki taraf ai howi thi...main usay mustakil note krhi thi k ajj us k chehray pr balah ka sukoon tha...Maine wese he poch Lia k konsa khazana hath lga Hy mohtarma k...momi ne Meri taraf dekha aur muskura di...apko pata Hy na mjhy geeli mitti ki khushboo kitni bhati Hy..barish ki bondain jab tip tip chehray pr girti hain to mera dil is taal pay morni ki trha nach uthta hy...wo kehti jarahi thi aur mujhy kuch ajeeb nhi Lag rha tha ...kyoon k aesi bey saropa batain wo akser he kerti thi...momi mujhy soch main doba dekh k mera bazoo hilatay Howe cheekhi aap sun rhi Hain na...main ne gardan isharatun HAN main hila di...wo boli apko pta hy na main Hawa see jholtay darakht k nechy kharay ho ker paglon ki trha chilati thi k kitni pyari Hawa Hy na... dil krta Hy hawa k doosh pe ur k gagun ko choo aon..
Apko pata hy rangon se mohabat krne wali momi k sb rang dukhon ki dhoop ki timmazat se ur gaye hain aur ab usay her rung safaid nazr ata Hy...
Momi tm pagal hogai ho chup b ker jao...maine chir k kaha.

Plz ajj sunlain shayad phir ye awaz ap kbhi sun na paen...mene apne rab SE in taq Raton main ye sb manga Hy aur mjhy yaqeen Hy wo mjhy naumeed nhi kryga...
Mjhy wo apnay hawason main nhi LG rhi thi...
Main ghr Jane k liye uth khari howi...
Eid ki sbha kaam nibtate main soch he rhi thi k ajj momi ko bulwa lungi ya khud chaker laga aongi...tab he phone ki Bell bji ...paros wali bhabi ney sisakti awaz main kaha...... Momi Mar gaye...
Main Jahan thi wahin ki wahin khari reh gai...lgta tha jism may jaan nhi...
Janazay ko dafna k anay walon ne btaya bohut achi jaga mili qabr ki...darakht ki chaaon.. lehlahati tehniyaan...oper se rab ne baran e rehmat b bhej di,..mitti aur phoolon ki khushboo chaar so...btanay walay ka bayan jaari tha per Meray demagh main taq rat walay din ki momi ki duain Jo wo mujhy btaye jarahi thi...sain sain krty zehan main yehi baazgusht horhi thi k momi tmhari sb duain bargaah e ilahi main qabool krli gain...
Momi....tou Kia tmne un taq Raton main apni mout maangi thi...aik anso Meri ankhon see nikal kr mere zabt ki toheen kergaya....

Written by Fehmida Chaudhary
5th June 2018

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.