Skip to main content

Na'qabil e yaqeen haqeeqat

Maine apni adhi se ziada Zindagi aik aisay shakhs se rishta nibhane main guzaar di, jisne Meri jhooli main faraib, dhoka, jhoot k siwa kuch nhi dala. Aik saaf Dil jabir gareeb insan k saath aurat guzara kr sakti Hy. Jiska batin aur zahir aik ho. Per aik makaar jhootay aur faraibi k saath kabhi bhi aurat guzara nhi kr sakti.
Mard aurat ki khamoshi aur bardasht ko uski kamzori samajh k usper zulm ki had kr daita aur samajhta hy k is aurat nay mera kia beegar laina hy. Bardasht ki had paar kertay he aurat tamam ahsaasat aur jazbaat ko behissi ki neend sula deti hy aur phr aik he lamhay main wo us rondhnay wale shakhs k saye see dur nikal aati hy...us zalim shakhs ki ankhon main hairat aur tahayur ki tasveer dekh k us aurat ki zakhmi izzat e nafs khafeef sa muskurate hay aur wo apni Jane wale qafmon k nishan saath saath mittati b jati hy k wo zabt ki hadood ki ab nigaahbani nhi kr sakti.pechy mur k dekhne ka sawal bachta he nhi...
Aur ab main apna aap momi main dekh Rahi thi. Wo zabt ki zanjeer Tor k us k hisaar see kbki nikal ai thi. Per wo ana parast shakhs momi ko abhi bhi apni bnd mutthi main mukeed tasavur kr raha tha. Usay khabar he nhi this k momi rait k zaaron ki trha ahista ahista uski mutthi see phisal k uski qaid see reehai paa chuki thi. Us shaks ki mutthi khulnay ki dair this aur us anaparast shakhs ne buth ki trha unchay lambay qad samait us zameen pr aa girna that just zameen main momi ki zaat Zara Zara ho k phaili howi thi...

Written by Fehmida Chaudhary
22nd July 2018 Friday

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Bey'niazzi v/s behissi

Kya kaha...??? Main behiss hun??? Tumhain main hiss se aari lagti hun?? Wo jhunjhulaye howe andaz main chir k boli. Pehlay main hansti bolti thi to sb kehtay achi larkiyaan khamosh rehti hain. Maine kaam bolna shuru kerdia balkay youn kaho k ab zarooratun he bolti hun. Her insaan k sochnay ka andaz mukhtalif hota hy. Main kisi b behes main hissa leti to dosry ko b moqa deti bat ka. Apna apna point of view hy keh k bat khatum ker deti. Logon ko lgta main apni chalati. Phir logon k liye mene sun'na shuru ker dia. Apna point of view meray apny pass he store honay laga. Main khamosh reh k kisi ki sun k uska maan to berha sakti hun per jis bat pe dil o demagh raazi na ho. Main haan main haan nhi mila sakti.phir b koi khush na howa. Jo kaam kbhi mene kia he na ho wo b mujh pe daag dia jaye tb bhi chup... kisi ko lagta main taiz hun , kisi ko lagta upper chamber he khali hy...kisi ko janooni lgti tou kisi ko nafsiati. Main chup sunnti hun. Hansti hun khoob hansti hun.  ...