Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2018

Samjhotha...

Apni pasand ki cheiz na milne pe sabr kerna aur apni cheiz kisi ko pasand ajaney per uski pasand ko khud ki pasand pe tarjeeh deny jaisey samjhot'on see bachpan see he main khoob waqif Hun. Aisa nahi hy k bechargi ki had take ja k main ye sub kerti Hun ya kerti thi. Per zarasul mjhy apni khwahishon ko maar k kisi dosre ki khawahish pori hojaney ki Khushi apni Khushi see berh ker hoti. Bina kisi hasad k main dil se koshish kerti Hun k wo maan Jo dosre mujh pe na bhi kertay Hun. Wo maa'an ban Jaye. Aisa nhi Hy main kamzoor Hun . Haq k liye lar nhi sakti. Bus mjhy kisi ki cheeni howi aas, arhuri khawahish ki wajah nhi bn'na. Mjhy kisi cheiz ka badla nahi chaheye. Sabr aur samjhotah krty krty  kabhi thakun b nhi howi mjhy. Per TUM per aa k mere sabr ki, mere jabr ki had khatum hojati Hy. Hasad angraiyaan leta Hy. Shayad ye wo sach Hy Jo chupaya Jana chaheye. Maine apne liye hamaisha he Bar'ba'dian khareedi Hain. Meri Zindagi ki subse bari barbadi tum thy, tum ho aur

Tmne dekha hy kabhi?

Bastiyaan ujaar k bas jaati Hain. Soraj doob k tulluw hojata Hy. Andhairay k bad ujalata b hota hy. Taqdeer k mara b kismat ka dha'nee bn sakta. Per Kia kisi ne dekha Hy kabhi ? aetibar main dasa howa wo shaks Jo be'aetibari k zeher ko nigal k jee paya ho.? Kia dekha Hy tmne jeetey jee haara howa shaks...... Written by Fehmida Chaudhary as on 24 October 2018

Kon kehta hy??

Kon kehta Hy k mujh may himmat ki kami Hy? Main bahadur nahi? Main kuch ker nahi sakti. Mere himmat aur bahaduri ka andaza lgane ko, Kia ye kaafi nahi ? k main her us shaks Jo mjhy barbad kerna chahta ho , us se dugna barbad main khudko ker sakti hun. Pata nhi kyoon her shaks ki had k pata hotey howe bhi mjhy logon ko un k muqam tak pohchane main ajeeb sa maza ata. Kon kehta hay k munfarid hona Mera shauq Hy. Aisa bilkul bhi nahi. Haan magar mjhy wo b nahi bn'na Jo dosre hain. Tou kia ye b galti Meri Hy? Written by Fehmida Chaudhary as on 24 October 2018

Der (fear)..

Aik waqt tha mjhy tanhai -se, tanha reh janey se bohat der lagta tha. Itna der k,,, tanha reh Janey k der se main apni zaat ka iss'teh'saal krwa krwa k logon k qadmon ki khaak tak ban janne pe raazi ba raaza hojati k bus saath na chottay , bhalay mitti samjhy koi. Ankhon ki thandak ya sir ka taaj bannay ka sochna to door ki baat , guman b nhi Kia. Per zindagi k baad -o- baraan k baad jab ye jana k tanhai bohat behter hy jhotay logon see, jhote saharon se. Ab tanhai se der nahi lagta, logon se lagta hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 10th October 2018

Rang urr jatey hain...

Jab see Maine insanon ko girgit ki terha rung ( colors) badalte dekha Hy mjhy rungon see nafrat hogai Hy. Safaid rang k aar paar deekha ja sakta Hy. Rung aksar he dhokha detay Hain. Soraj ki timazat pertay he urr jatay Hain. Safaid rung dhoop main mazeed nikher jata hy , na he urr jata Hy aur na he saath chorta Hy. Written by Fehmida Chaudhary as on 10th October 2018

Dohraa mayaar...

Kehtay hain zindagi bohat bara ustaad Hy. Ye Jo sabak deti Hy wo sub insaan kabhi bhi kisi kitab, kisi aalim, kisi mufakir see nhi seekh sakta.Laikin phir bhi Zindagi main bohat see aisay sawal hain jin k jawab taa umr tAlash kertay raho tou jawab naa daard he rehta Hy. Main bhi akser sochti Hun  piyaaz ki perton ki trha chehra der chehra lagane wale lig aisa kyoon kertay Hain. Kyoon wo chehray dhoka detay Hain? Kyoon in logon k qaul o fail main tazaad hota Hy? Kyoon un k zameer murda ho jatay hain? Kyoon dosre logon ka ahtasaab kernay wale aainay may khud ko nhi dekhte? Beherhaal haqeeqat yehi Hy aur nihayat karvi bhi. Baaz chehron PE paray nakaab see hum bohat achi terha aagaah hotey Hain. Lekin hum chahtey yehi Hain keh in chehron PE nakaab pari rahe. Hum hassass log in naqaab main chupay logon k hissau ka kufara ada kertay rehte Hain aur in k hissau ki haya aur lajj bhi hmain kerni perti Hy . Taah k in k unchay shamlon ki Shan qaim rahy. Hum bin kahay he in k man saman k rukhwale