Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2011

shikwa shikayat .........

Mera man'na hay k jo log shikwa shikayat kertay hain her bat per .... wo khud un baton ki pasdari nahi kertay ...jis per kisi dosray say shikwa ker rahay hon.... Logon ki nirali he mantak suni aur dekhi hay main nay ...ye k .....shikwa apnon say he kia jata hay.... Aray...... Apna jisay samjha jaye us say shikwa kaisa.......!!!!! ??? Apna tou wo hota hay jis ki her baat aab e hayat samajh ker ghont ghont amrit ki terha pee li jaye... Ye kia howa k ...shikayat kerdi.......... Ho sakta hay logon ki soch ye ho........per mujhay ye soch qabool nahi........ Mujhay tou bas ye pata hay k apnay piyaron ki sub buri batain ya dil dhuka janay wali batain dil k kisi konay may madfun kerlo.....aur koshish karo k us per shikwa na karo....Aisa nahi hay k hum un baton ko foran dil say ukhar painktay hain..........dil may sadma bhi hota hay......dil khoon k ansoo bhi rota hay.....per qarar ajata hay rafta rafta...........kabhi kabhi ye lamhat ye alfaz hum per udasi ka h

Samjhotha....

Na ye dosti hay .... Na he narazi hay..... Ye to sirf aur sirf samjhota hay ... Jo tumharay meray dermiyan khud ba khud teh pa gaya hay..... Main nay aik jaga perha tha mohabat may ya tou jeet hoit hay ya haar.... Jeet tou mera muqadar ho he nahi sakti ... Kyoon k sinf e nazuk ka muqadar jeet nahi.... Aur Haar ko main apna naseeb banana nahi chahti ... lehaza beech ki raah chuni hay main nay.... Mila to aur bhi taqseem ker gaya mujhko... Samaitne thi jisay meri khirchiyan mohsin... Fehmida Chaudhary

Sakoot e margh taari hay.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Adat hay hamain kuch ziada he khushyan bantnay ki Her dafa khali reh jatay hain... patay patay..... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Zindagi may logon ko kisi bhi cheiz k liye pagal hotay dekh ker bari hairani si hoti hay....ye waqti ubal hota hay..Jitna zindagi ko aur logon ko main nay samjha hay wo ye he hay k jo cheiz unki dastarast say dore hoti hay us k liye wo bekarar hotay hain.........aur jab wo cheiz unko hasil ho jati hay tou uski qadr nahi rehti........ Suna tha k Heeray ki qadr johri ko hoti hay...........per sub kitabi batain hain......Zindagi nay tou kuch aur he dekhaya bhi aur bataya bhi........ Halan k main achi terha janti hon k kisi bhi baat per tabsarah ker daina ya tanqeed ker daina bohat he sehal sa kam hay........per main zindagi ki un talkiyon ko kaisay jhutla don...jinhon nay ye aagahi di hay k log badal jatay hain.....daway badal jatay hain.........riston k aetibar kaim nahi rehtay ....mohabatain k

Apnay aur bayganay.....

Main nay zindagi may do mukhtalif tarah k logon say dhoka khaya... Ik un say jin say mera koi rishta tha na he wasta.... Ik wo jo meray bohat apnay thay aur meri zaat ka hissa bhi.... Shayad zindagi may her zakhm ka marham hay...per wo dil jo kisi pyary k hathon zakhmi howa ho us per koi marham koi dawa kam nahi kerti.......un zakhmon say Khoon rista he rehta hay.....Khoon ki her bond jism o jaan may ik aag si dehka deti hay...Lakh bhulana chaho per ....NAHI...ap nahi bhool saktay....un rishton un pyaron un apnon ki ankhon k rang badalnay ka manzar.... Lehjay ki talkhi ......Jazbat say aari jumlay.........Aur wo beganay pan ka ahsaas jo wo hamain dila jatay hain......... Kehtay hain waqt sab say bara marham hay..... Nahi..... Guzarta waqt is zakhm ko na-soor zaroor bana daita hay....per bhulata nahi...durd kam nahi hota...barhta jata hay....barhta jata hay ...... Phir ik muqam aisa ata hay k ap ki sochain sirf aur sirf isi nuqtay per aker munjamid ho jati hai

......................

Zindagi may baz log baray dhani hotay hain....mitti ko hath lagatay hain to sona ho jata hay... per baz log sonay ko hath lagain to rakh ho jata hay..... Zindagi may jab kabhi bhi kisi k liye kuch acha kernay ki koshish ki......uska ulta result he mila....kehtay hain niyat achi to 100 raahain khul jati hain....per aisa sirf shayad kitabon may he hota hay......Real life to is say kuch alag he hay....Yahan jo kuch nahi hota ...wo bohat kuch hota hay... aur jo kuch hota hay...usay apnay honay ka ahsas bhi nahi hota..... Kehtay hain ghar may shakkar to bahar bhi shakkar.... Ahhhhhh..... Jab kabhi dil dukha ho to us din mazeed dukhta he chala jata hay... Raah k pathar aur hamari mumasilat ye he hay ............Aoo aur ik zoredar thokar lagao.....hanstay jao......rulatay jao........choat lagatay jao.....durd barhatay jao............ Kehtay hain her cheiz ki ik had hoti hay...........per kab hoti hay .....................?? Jab insan may sans nahi rehti ...........tab??? Per tab faida he kia.