Skip to main content

Sakoot e margh taari hay.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Adat hay hamain kuch ziada he khushyan bantnay ki
Her dafa khali reh jatay hain... patay patay.....
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Zindagi may logon ko kisi bhi cheiz k liye pagal hotay dekh ker bari hairani si hoti hay....ye waqti ubal hota hay..Jitna zindagi ko aur logon ko main nay samjha hay wo ye he hay k jo cheiz unki dastarast say dore hoti hay us k liye wo bekarar hotay hain.........aur jab wo cheiz unko hasil ho jati hay tou uski qadr nahi rehti........ Suna tha k Heeray ki qadr johri ko hoti hay...........per sub kitabi batain hain......Zindagi nay tou kuch aur he dekhaya bhi aur bataya bhi........

Halan k main achi terha janti hon k kisi bhi baat per tabsarah ker daina ya tanqeed ker daina bohat he sehal sa kam hay........per main zindagi ki un talkiyon ko kaisay jhutla don...jinhon nay ye aagahi di hay k log badal jatay hain.....daway badal jatay hain.........riston k aetibar kaim nahi rehtay ....mohabatain kahaniyan ho jati hay.......jazbay badal jatay hain........per jo seedhay sadhay log hain jo khuloos aur wafa ki raah per chalnay walay log hain unki ankhain tab khulti hain jab un k apna aetibar kirchi kirchi hota hay......tab wo jo mohabataon ki bulandiyon ki taraf rawan dawan hota hay zameen per agirta hay........zindagi bhar ka sath denay ki qasmain khanay walay us rishtay ki he lajj nahi rukh patay ..........aur unhain naya safar ...nai mohabat ka junoon kisi aur he manzil ki taraf lay jata hay..........

Phir bas reh he kia jata hay.......kuch bhi nahi..........

Duniya bhar ka pyar ap k liey koi maani nahi rukhta k jiska pyar apka haq tha..........us nay he ap k aeibar k khoon ker k kahin aur luta dia..........tab na he apko apnay ap per confidence rehta hay na he duniya k kisi aur shaks per .........shayad kabhi kabhi apnay ap per bhi nahi ..........

Per apni he khawari hay........apni he beizzati hay..........apni he bekadri hay...........tou bata ker kia hasil ............

Baray khush naseeb log hotay hain jo dil khool ker lar bhi laitay hain batain bhi suna daitay hain...

Muskil to un logon ko hoti hay jo ander he ander chup chap ghuttay rehtay hain...na kisi ko kuch bata saktay hain na he dil k zakhm dikha saktay hain...........

Meri mantak meri tarah nirali hay.........mera manna tha k ALfaz k teer ....zakhm lagatay zaroor hay per aik na aik din wo bhi bher he jatay hain...........per khamoshi.................khamoshi ki ik apni he zuban hoti hay ..........jo kuch na keh ker bhi bohat sa ahtajaj ker jati hay...........per nahi ab na lafzon ka asar hota hay na khamoshi per ........log behiss ho gai hain...............ristay khoon k ansoo rulatay hain...........zakhmon per khanjeer ki noak say marham lagatay hain..........ajj beaetibari si be aetibari hay..........ajj afrah tafri ka alam hay...........ik kohram sa bapah hain dil ki basti may.......ik khamosh si gonjh hay zindagi k sehra may.............

Sakoot e margh tari hay.......................
Sakoot e margh tari hay.......................

Fehmida Chaudhary

Comments

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.