Skip to main content

Chand aur Tum....

Pehlay main chat say pehron batain kerti thi chat k ik makhsoos konay main beth ker....kabhi hans ker kabhi roo ker...per phir janay chand ko kia howa...main jab us say batain kerti wo chup jata kabhi badlon ki oat main kabhi aasman pay sufaid bikhri roe k galon main... main tarap uthti k mera wahid dost meri kisi bat pe ab pehlay ki terha tawajoo deta he nahi.....uski is berukhi ka sadma jatey jatey chala he gaya ....per meri Chand se mohabat kam nahi howi....main ab bhi us ko usi pyar se usi lagan se dekhti hon jaisay us k badalnay se pehlay .... meray zehan k ik goshay main ye bat mehfooz hay k meray dukh dard k lamhat ka raaz dan raha hay wo ... aur main kabhi kisi ka ahsan nahi bholti... chaheye wo soi jitna kyoon na ho... meri zidangi bemole si hay..ye hamaisha apnay ap ko tarazo k dosray palray main neecha pati hay...aur dosray ko oncha...meray napnay ka paimana shayad fault zada hay...per iska koi cure ab hay he nahi......main khud ko badal he nahi sakti....shayad meri kafiat meri sochain meray khoon main siraeyut ker chuki hay aur jism ki ik ik rag ik ik jar main phail chuki hay...

Raat main nay bohat takleef main guzari...taraptay bulaktay... bohat he aziat main... mujhay tumhari zaroorat thi...per hamaisha ki terha Tum manzar se gaib thay... ye meri kismat hay jab mujhay kisi ki zaroorat perti hay Lakh buland o bang daway kernay walay meray ird gird mojood he nahi hotay...Main hamaisha ki terha tanha he apna bar uthati hon... aur phir meri sehmi sehmi si zaat k parukhchay say ur jatay hain ... apni zaat k in tukhron ko ik lamba arsa lagta hay mujhay samaitnay main ... aur dair bhi nahi lagti in ko idher udhar bikhar janay main... phir naye siray say apni kirchiyan samait'ti hon khud he.... zakhmi wajood ki takleef aur berh jati hay kirchiyan uthanay main hath laho lohan tou hotay he hain...dil bhi zaar zaar hota hay apni ARZAAN zaat ki ye halat dekh ker...

Tum nay bhi chand ka chalan apna lia...kia tum bhi chand ho gai.......

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.