Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2012

Na Khuda ...

Quran may aya hay k jo dosron ko paraishaniyon ka khayal nahi kerta...Allah uski paraishani ka khayal nahi kerta... Allah k yahan bhi BARTER SYSTEM ka sa he rivaj raij hay... Jinhain apnay dilon k strong honay ka bohat naz hota hay...Wo Allah k yahan bohat kamzor hotay hain...k Allah nay narmi ka hukum dia hamaisha... Hazrat Ali k farman ka mafhoom hay k KIsi bhi shaks ki zaroorat ka tum se mansoob hona ya umeed wabasta hona ...Allah ka karam hay us insan per k ...Allah nay us shaks ko chuna kisi ki zarooraton ko pora kernay k liye...per ye dolat k matam kertay pojari....Dolat ki hawis nay inhe itna andha ker rakha hay k gin gin k ahsan kertay hain....KIA INHAIN BHI ALLAH GIN GIN KER DAITA HAY....? Nahin na ....? Wo tou be hisab deta hay... Zindagi bhar insan ik dosray ko impress kernay k liye usper invest kerta hay...Kon hay jo ALLAH k liye investment kerta ho... Ye Shirq kernay walay log Kafir nahi hain kia....? Ye shirq nahi tou kia hay k Wo khud ko ZAMEENI KHUDA ya na Khud

Aasaib aur Aasab.....

Ankhon se neendain tou usi din rooth bethi thin jis din zindagi ki talkhiyan samajh anay lagi thin per dekha jaye tou shayad main ye sub umer k us hissay se he mehsoos kernay lagi thi jab meray mitti k gharonday aur guriya'on say khailnay k din thay....Mujhay in talkhiyon k aasaib nay her dam dara ker he rukha...Mujhay jitna der lagta rehta utna he ye aasaib mujhay akaila paa ker mujhay her so daranay chalay atay...Meri ander ki sansain ander aur baher ki baher reh jatin main kisi ko kuch keh he nahi pati... Rafta rafta ye asaaib mere dost ban gaye....Pakkay dost....In asaaib'on nay mujhay itna mazboot ker dia k Mere Aasab itnay mazboot ho gaye k phir zindagi bhar ghamon ki koi andhi ....koi tornido....koi sailab mujhay meri jaga say na hila saka....Main nay her cheiz ka dut k muqabala kia...Main ne ghamon ko dukh ko apnay ander utar lia...jaisay ye meri zaat ka bichra howa hissa he hon... Main chalti gai....Chalti gai.....Aur Chalti he jarahi hon....Pata nahi kab tak...Is te

Ishq e Haqeeqi......(LoVE is only For Allah)

Main nay jab jab logon se mohabat ki mujhay thukra dia gaya...main ander tak toot gai.....meri zaat raiza raiza ho gai...main roi bohat tarpi..........laga jaisay sub khatum hogaya .........phir mujhay US(Allah) nay pannah di jisay main nay bhulaya tou nahi tha per mera yaqeen shayad danwadol ho gaya tha........phir Us k darbar main jo roi main tou ik qarar mila......k wo tou hamaisha mere saath tha...aur main khud ko akaili kehti rahi...tanha samajhti rahi.....roti rahi ....wah waila kerti rahi.......... Mujhay US (Allah) se bat ker k ik sakoon mila.....jo sakoon main duniya bhar main dhondti aye thi...wo mujhay Meray RAB nay dia....main Ashiq ban gai......US ki zaat ki.....Kaisay mukamal si lagnay lagi apni zaat.... Tamana hay k US k rang main rang jaon........duniya heech lagay us k Pyar k agay.....Main bas uski he ho k rahon.....Duniya ki lagzishon say bacha lay mera RAB mujhay....Meray Mehboob mujhay ....k wo tou mujh se itna pyar kerta hay ....itna pyar kerta hay.....k uska tou

♥♥ Bas TU.........TU he TU ♥♥

Jab jab maazi k ghum meri zaat k saath Ammar bail ki terha aker chimat jatay hain tab tab bas sirf ik he baat mujhay rahat deti hay...Bas ik tera he nam Jab Jab Rooh khandar jism main aker chupay howay zakmon ko chairti hain tab tab sirf in zakhmon ko sirf ik he bat se qarar ata hay.....Bas ik terha he nam Jab Jab chanchal hawa wiran ghar k darwazay khat'khatati hay...tab tab is larzida jism ko sakoon sirf milta hay tou to wo tu hay....Bas ik terha he nam Tere nam ki mala japti rehti hon tou Din bhar ka jaisay wazeefa sa mukamal ho jata hay.... Namaz e Ishq ........Dil k Jaa aey namaz per ada kerti hon....por por tera tazkira kerta hay....Rooh main ik sarshari si ajati hay.....Zakhmon pay maryam sa lagnay lagta hay..... Main kyoon tum se rooth k bethi .... Main ye bethi soch rahi hon... Tum Aik Aur  Itnay kam..... Fehmida Chaudhary 19 June 2012

Bari mushkil se seekha hay kisi ko Alvida kehna ............

Main ik aisay mor per khari hon jahan khud apni khabar nahi mujhko.....per ye pata hay k main akaili hon .... bilkul akaili....... Kabhi sayon say behla rahi thi khudko kabhi wahimon main uljha rakha tha....Shayad khud ko khilona bana rakha tha....per ab aur himmat nahi......Mujhay khud ko khud he sahara dena hay...Jo k bohat muskhil kam hay.... Mera wajood khokhala sa ho k reh gaya hay.....khooni rishton nay khoon nachora rag rag se tou doston nay khilona he samajh lia ......wo jo kuch zindagi bachi thi na meray ander usko Dostiyon ki demak nay chaaat lia... Mera dil khander zada hay jahan maazi ki yaadain aasaib ki manind idher se udher mandlati phirti hain....in say khoon risssta rehta hay.... Jhooti tasaliyan ...jhootay saath k an kahay waday ....Ankhon ki putliyon main teher say gaye thay....bohat roi hon.... Ankhain masal masal ker bari mushkil say in khawabon ko ankhon ki putliyon say mitaya hay maine.... Bari mushkil say is faraib k dairay say bahir aye hon...k Haqiqat phir

Faseel............

Bawajood is k ...keh... main nay apnay gird ik aahini foladi devar ka hisar tameer kia howa hay...kabhi kabhi ye dil apni raah say hat ker dharak he uthta hay....ye dil na janay kyoon bachon ki c harkat kerta hay.... ik bar raah say hat'tah hay tou zid pe ar jata hay....arzoo'on ko khawahishon ko pori kernay k liye aisay rota hay jaisay koi bacha khilonay k liye....per ye is DIL ka bachpana jata he kahan hay...Dil tou bacha hay na...zidi anari alher....nasamajh sa....... Is aahini devar say aik faida tou mujhay ye bhi hay k ab mausamon ki shiddat...Badaltay chehray mere dil per asar andaz hotay he nahi....Her chotay chotay ghum ka matam apnay is hissar main he mana laiti hon....ajab he saman hota hay....yadon ki qandeelain...ahsas ki khushboo...char soo hoti hay aur sirf main he main hoti hon... Mujhay yaad hay mujhay tanhai say kitna khauf ata tha.....Aur ab ye aalam k tanhai mujh se khauf khati hay... waqt kis qadr badal daitay hay saray manzar... saray ahsasat... Maine

Zindagi aazar deti hay.....

Log kehtay hain Moat bari aziat nak hoti hay....Na janay aisa kyoon kehtay hain ye log ??? Meri nazr main zindagi say bara koi aazaar nahi...Ye terpati hay ...siskati hay... girati hay phir uthati hay...ik ajab he alam hota hay zindagi k safar ka ..... hamain ye khush fehmi k hum apni zindagi guzar rahay hain .... Zindagi ko ye saroor k wo FATEH E AALAM hay.... maftoo hay...hum is zaum main k sub hamaray hathon main hay...

Raakh ka ghar...

Ab Log lay k aye hain soraj khaloos k Jab roshni Chiragh ki nee'lam ho chuki Tu he mujhko dhoond lay Ae manzil e Nishat Main tou teri talash main naqam ho chuki Jo Aurat Bahar ki duniya ko chore ker Ghar ki char devari ko apni duniya banati hay usay kabhi bhi bahar ki duniya main pannah nahi milti....Ye alag baat k Zindagi k sehra main kai bar us k wajood ki thaki howi aurat usay jhanjorti hay ...Us say uski pehchan mangti hay.....Per wo aurat khud apni zaat k nam o nishan ko apnay he pairon talay rondh ker agay berh jati hay....Routine work anjam denay k liey...  Aurat duniya ghar k kamon main pehlay "apna ghar" mad e nazar rakhti hay...Pehlay ye kam kerlon ....Wo kam kerlon...Bachon shohar ki kamyabiyon per is terha khush hoti hay jaisay wo khud uski apni kamyabi ho....Ghar k bahar NAME PLATE per shohar betay ka nam dekh ker uska dil masroor sa rehta hay...Jaisay ye award usko khudko mila ho...Wo is raj dahani ki Rani ban ker khudko duniya main motabir samajti hay...

Hamzad............

Aisa nahi hay k ab mujhay durd nahi hota....Hota hay magar ab lafzon main bayan nahi hota...jism ki nass'on may khoon ki terha gardish kerta howa...her jaga pohanch jata hay .... rawan dawan ...idher se udhar....udhar se idher... Ye to mudaton say aalam hay meray dil ka k na hansta hay aur na he rota hay...Na he maazi dil main chubhta hay aur na he ainda ka kuch socha hay... dhuwan dhuwan say manzar ki dhundli shamon main perchaiyan si charon janib phirti rehti hay...meri zaat ka tawaaf kerti rehti hain ... Aaahatain sunai deti hain ... ik manoos say qadmon ki chaap...per pechay mur k dekhti hon tou kuch bhi nahi hota...na he saya hota hay aur na he wahima ...per kuch tou hay tou hotay howay bhi nazar nahi ata...Shayad meri apni zaat ka aks...meri rooh ki pyas.... mera hamnawa....mera hamdam...ya shayad mera apna he Hamzad........per ye samnay kyoon nahi ata....kyoon chupta phirta hay mujhse ....main is k peechay dor dor k thak k chor hogai hon....aablay per gaye hain meray pairo