Skip to main content

Na Khuda ...

Quran may aya hay k jo dosron ko paraishaniyon ka khayal nahi kerta...Allah uski paraishani ka khayal nahi kerta... Allah k yahan bhi BARTER SYSTEM ka sa he rivaj raij hay... Jinhain apnay dilon k strong honay ka bohat naz hota hay...Wo Allah k yahan bohat kamzor hotay hain...k Allah nay narmi ka hukum dia hamaisha...

Hazrat Ali k farman ka mafhoom hay k KIsi bhi shaks ki zaroorat ka tum se mansoob hona ya umeed wabasta hona ...Allah ka karam hay us insan per k ...Allah nay us shaks ko chuna kisi ki zarooraton ko pora kernay k liye...per ye dolat k matam kertay pojari....Dolat ki hawis nay inhe itna andha ker rakha hay k gin gin k ahsan kertay hain....KIA INHAIN BHI ALLAH GIN GIN KER DAITA HAY....? Nahin na ....? Wo tou be hisab deta hay...

Zindagi bhar insan ik dosray ko impress kernay k liye usper invest kerta hay...Kon hay jo ALLAH k liye investment kerta ho...

Ye Shirq kernay walay log Kafir nahi hain kia....?
Ye shirq nahi tou kia hay k
Wo khud ko ZAMEENI KHUDA
ya na Khuda bana bethay hain....
Kisi ka ahsas Kisi ka dukh un k dil ko cheer k nahi rakh daita...
Her ikhtiar hotay howay bhi wo duniya ki thokarain khatay hain tou Be saharaon ka jinka koi nahi un per duniya ki thokarain kis terha asar andaz hoti hain ...ye socha hay kabhi....

Kisi k muh say buddua na bhi niklay...Uski ankh ka Ansoo Allah ki bargah main wo tofan le ata hay jo baddua say bhi berh ker hota hay....

Per ye zameeni na Khuda kia janay...
Kisi ki ankh ka anso na poonch ker wo khud hans sakain tou jano......
Ye to wo khaiti hay jo insan bota hay wo wohi kat'ta hay...
Insaaf to beherhal hay he ....Yahan bhi ....Wahan bhi....

Fehmida Chaudhary
28th June 2012

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...