Skip to main content

Bedard mausam......

Garmi sardi khizan bahar ye saray mausam tou qudrat k banaye howay hain....un k alag he rang hain...
Mujhay tou in mausamon k anay janay ka pata he nahi chalta ...kab aye ....kab gaye....meray dil ka mausam tou her so aik sa he rehta hay.....jahan sun'nata hay....tareeqi hay...tanhain hay...aik ankahi si dard bhari kahani hay.....kia nam don is mausam ko....haan...shayad .....ye Bedard sa mausam he tou hay....

Ye bedard mausam bara he bedard hota hay....jo hamaray dilon main yaadon k darwazay khol daita hay....Aur wo loag hamain bohat yaad atay hain jo hamain ghumon, tanhaiyon  aur tareeqiyon k hawalay ker gai hon...jin k honay say hotay thay zamanay apnay....ya jin k honay ka ahsas he hamarai subh o sham howa kerta tha....Wo jo hamaray thay he nahi...unko apna maan ker zindagi ki bagh dor thama dali aur unki betawajihi nay hamain ahsas e mehroomi ki gehri khaae main dhakhail dia....

is gehri khaae main na tou khul k sans lainay ki gunjaish hay na he is khaae say bahar anay ka tareeqa samajh ata hay..ajab qaid hay...ajab bebasi ka alam hay....qist qist moat milay tou moat bhi hirasan ho jati hay...main tou phir insan hon...mujhay jeenay ki qistain ada kerni perh rahi hain k moat ki tamana main....yehi samajh nahi ata hay....

Wo jo waday thay ....jo guzray waqt nay jholi main dalay thay....jin ki takmeel ki umeed rahi he nahi....un wadon ki ab din raat BARSIYAN manati hon...ansoon ki barish aur armanon ki chadar charhati hon....main unhe wadon k mazar per majawar ban k bethi hon....is umeed per k jab moat apni agosh main lay mujhko tou main isi mazar k aahaatey main kisi qonay main dafna di jaon....apnay dil k armanon samait...aik masoom si khawahish hay meri k meri qabr pe aik saya dar ghana darakht lagaya jaye k meri he tarah koi dard ki mari is darukht say taik laga k apnay dukhon ko sukh main tabdeel honay k khawab dekh sakay...k khawab tabeer he kab patay hain....per wo lutf jo khawab main..... khawab pora honay ka hota hay uski khushi bayan say bahar hay...Bedard mausam main janam lainay walay hum jaisay logon ki zindagi main patjhar ya khizan he ka sama rehta hay...na bahar ati hay na khawabon k mazar per phool khiltay hain....banjer zameen per bas ghum ki khudroo jhariyan ug ati hain....

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.