Skip to main content

Insaan aur Gidh.....

Main soch rahi thi k insaan aur gidh main ab farq kitna reh gaya hay...? Gidh tou maray howon ko khatay hain aur ye insaan zinda ko aik aik boti noch k ... aziat de k ...dard day k ....Gidh itnay buray tou na howay na phir....ye tou maray howon ko khatay hain jinhain na durd hota hay na he ehsaas ...na he kisi aur kism ki takleef....

Jonkain tou mashoor he khoon peenay k liye hain aur ye insan mohabat ka natak ker k shehr e zaat main dakhil ho ker ghont der ghont khoon peeta hay...qatra qatra nachor leta hay jism se....phir bhi ashraf ul makhlooqat kehlata hay....

Dekha jaye tou zahir main jo kuch hota hay wo asal main HOTA nahi hay....pata nahi kisi cheiz k honay k liye Kia hona chaheye ....laikin ye falsafyana soch kisi bhi bat ka jawab nahi..balkay shayad duniya main kisi bhi sawal ka jawab nahi....hum apnay zehan ko raam kernay k liye jawab bana tou lete hain per wo jawab hota nahi hay...

Kon kehta hay k her aik sheh ka taluq dosri sheh say jura hota hay...ye sub khalayat k tanay ba'nay hotay hain jo hamain cheizain ik dosray say munsaliq nazar ati hay....jab k wo hoti nahi hain....
Aisa he kuch insani rishton main hota hay...koi kisi ka kuch bhi nahi hota per dekhnay say aisa lagta hay k apas main aik dosray ka bohat gehra taluq hay..per hota nahi hay....

Na maloom ankhain jo dekhti hain wo der haqeeqat hota kyoon nahi hay....
Ya jo haqeeqat ho wo dikhta kyoon nahi hay....???
Nazrain kamzoor hoti hain k Hamari hiss'yat jo hum ye sub mehsoos he nahi ker patay.....

Fehmida Chaudhary.....
16th Feburary 2013

Popular posts from this blog

Garoor v/s fakhr

Kisi ne mujh se pocha k ap k khayal main garoor aur fakhr main kya farq hy? Maine jawab dia... Garoor wo rawaiya hy jisme insaan khudko kisi b dosray insaan se bur'ter samajh k apnay wasf ki tareef aur dosray ki khamiyoon ko tehkeer ki nasron se dekh k un ki tush'heer kry. Fakhr wo rawaiya hy jo ap apnay kisi b wasf ko behter bananey k bd waqar k saath apni shakhsiat may ujager kerty hain. Aur apnay ap ko mazeed behter bananey k liye mazeed mashq(lesson/exercises) per tawajoo markooz rakhty ho. Fakhr ka matlab he yehi hy k kisi b khasiat ko apna k usay ajjzi k saath rooh main basa lia jaye k apki zaat us khasiat ya achai ki muh bolti tasveer bn jaye. Written by Fehmida Chaudhary 18th june 2020

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may

Made for each other...

Maine ye bohat bar suna hy k joray asmanon pe banty hain. Her relationship main up downs b hoty hain aur ikhtilafat bhi. Kyoon k her insaan aik sa nhi hota. Yehi wajah hy k jab do log kisi rishty main bandhty hain to us rishtay ko nibhanay k liye wafa, khaloos, qurbani aur aainay jesi shafafiat honi chahye. Sirf aik insan ki koshish koi b rishta rakhne me kabhi bhi kamyab nhi ho sakti. Dono tarf aik c koshish hoti hy to rishta bnta hy. Warna talluq k touq ko sirf ghaseeta he ja sakta hy. Main usay bachpan se janti thi wo larki hassad,keena, jalan ki kasrat main mubtila aur jhoot bolna aur us pe datay rehna. Na khud khush rehna aur na he dosray ko khush dekh pana. Jab tk rang main bhang na daal de sakoon perta he nhi tha. Baaz logon ko hmaisha he apne apko bechara bnana aur apni galti ko dosron pe dalna bht acha aata hy. Wo apni nazr main becharay he hotay hain. Wo b in ramooz se wakif thi aur phr subne dekha k us k liye us jesa he aik shakhs bheja gaya. Jhoot tou ghutti me tha goya.