Skip to main content

Aisi ye duniya kyoon hay......?

Raste khud ba khud ban jatay hain sirf manzil ka tayun kerna zaroori hay... Jab manzil k nazdeek pohanch jatay hain tou lagta hay k manzil asan thi phir is qadr kathnayan kyoon muqader bani...beher hal zindagi kat he jati hay kabhi manzil ki talash main aur kabhi tamam umer bhatuktay howay ...Hamsafar na bhi ho tab bhi aur ho tab bhi ...Moat itna nahi rulati jitna k zindagi rulati hay....Kabhi aansoon ka samander aur kabhi khoon k aansoo jisko dekho wohi hay apnay ghum may dooba howa....Is qadr doba howa k apnay ilawa kisi aur ka hosh he nahi....

Main nay zindagi say ye sekha hay k sach ko apna hathyar bana ker larnay walay log aksar duniya ki jaang har jatay hain....Shikist unka muqadar banti hay..Aur jhoot ki parastish kernay walay musafir akser paar uter jatay hain ....Na janay aisa kyoon hota hay...Per haqeeqat yehi hay aur karwi haqeeqat .....aur is say kisi taur inkar nahi ho sakta....

Zindagi main aik aur cheiz jo meray mushahiday main aye wo ye k jin logon k liye hum purkhaloos howay hain ...Inteha ki mohabat kertay hian wohi hamain dosray logon k muqabalay main sub se pehlay daggah day jatay hain ...Meri zindagi main ab tak siwaey aik k sub he dagahbaz aye ....Meri mohabat , meray khaloos , meri saadgi ko meri kamzori samajnay walay log meray dil say uter jatay hain Mujhay kisi qism ka badla nahi chaheye na he kisi qism ki asnad....magar kam nikal janay k bad un logon ki ankhon ka rang badal jana aur unki asliat ka zaahir ho jana bohat dard deta hay....takleef deta hay.....Magar yehi duniya hay...Yahan aisa he hota hay...Her chamaktay chehray k peechay aik ghinaowna chehra jo dikhta kuch aur hay aur hota kuch aur hay.....Kehta kuch aur hay aur kerta kuch aur hay....

Faraib ka aik jaal sa hay jo her shaks dosray shaks k gird bunta hay aur tawakoo ye kerta hay k us k saath sirf bhaalai he ho....usko jo milay wo purkhaloos ho, wafadar ho,magar khud koi apnay ap ko aainay main nahi dekhta ...k wo khud kia cheiz hay...

Yehi duniya hay.....Janay ye duniya aisi kyoon hay..Badalna chaho bhi tou na badalnay wali...tou kyoon na aisa karain hum apnay ap ko badlain.......k apnay ap ko badalna tou duniya ko badalnay say bhi ziada mushkil hay......

Fehmida Chaudhary

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...