Ajj janay kesay afratafri ka sa aalam tha...meray veran sehan main dor dor tak ser he ser nazar arahay thay...aik azdaham sa tha logon ka kuch janay pehchanay aur kuch anjan....phir kuch aurton nay mujhay gusal dia aur safaid naya buraq jora zaib tan ker dia...main jaisay khud ko bohat halka sa feel ker rahi thi..lakh bolnay ki koshish kerti per muh say kuch ada he nahi ho paraha tha...sunta sub tha...koi meri badgoi ker rha tha tou koi tareef...aik alag sa he sama tha....main bas aik taraf aik naye bed numa bister per ankhain monday leti thi....phir janay kia howa her taraf shor sa mach gaya...samajh main kuch aisay he araha tha...log keh rahay thay k ab is k janay ka time agaya hay...isko rukhsat karo....phir dekhte he dekhte mujhay doli numa cheiz per char kandon par char logon nay utha lia....main hairan thi...ye kia ajab manzar hay....kia kahani hay....phir wo mujhay le k chaltay rahay chaltay rahay....aur akhir mujhay le ker Shehr e khamoshan pohanch gaye...tab ja k meri samajh ...
Soch ka , samajh ka , ik la'matnahi Karwan.... jiski koi manzil nahi...Jiska koi thikana nahi... Demagh ki bhatti say sochon ka dhuwan nikalta hay aur phir hawa main tehleel ho jata hay... Meray dil k bukharat alfaz k qalib main......FC