Skip to main content

Mujhay log "Guriya" kehte hain...aur samajhte bhi hain...

Mujhay log guriya kehte hain...dikhnay main mera wajood lamba chora aur mera nanha sa dil ik masoom chirya ki manind..tharakta howa ..pherparata howa...bilkul patjhar main jharay howay un zard paton ki manind jo bedool ho k idher say udhar haalat k jhaker say derbadar bhataktay phirta hay.. main ik khanderzada wajood jahan haalat k jaalay ja baja lagay howay hain,,,In may makeryon ki sorat wo rishtay hain jinhon nay jab bhi la'ab nikala zehrila he nikala....

Main wo waqt ki maari aurat jo chader aur char divari ki shaidai aur waqt nay mujhay kahan kahan ki khaak na chunwai....Wo divar jo seelan zada thi ....gira di main nay...Wo thi bhi bohat he bodi si.....Jis say mujhay jhoot, faraib,raya kari aur makaari ki boo ati thi....

Kaisay kaisay luti hon main....Kesay kesay aur kin kin rishton say thokarain khai hain main nay...kis kis nay chehron pay naqaab laga k daasa hay mujhay......aur mujh main zeher bhar dia hay....Shayad in ragon main khoon ki jaga zeher dorta hay....Kabhi jism k dooran e khoon  k saath mera room room pyar ki laae per tharakta tha...Aur...bas nafrat he nafrat hay charon taraf.....

Aur ab to sub say bara sach yehi hay k wo jo kabhi tamanah thi k koi is dhund ko hata day aur manzar ko wazeh ker day ....Ab wo hasrat .....Zeraah baraber rahi bhi nahi.......Dil ki silait saaf o shafaf hay....kisi chiknay gharay ki terha...

Fehmida Chaudhary
10th July 2013

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Insan aur farishtay....

Zindagi may achay aur buray do tarah k rastay hain jin k baray may hamain hamara mazhab hamara culture aur hamaray mazhabi rehnuma aur deegar resources batatay hain....... Fariston ka kam hay ALLAH ki ibadat kerna...achay kam kerna.......unki task sirf yehi hay.. Shaitan ki koshish hay k wo gumrah karay aur koi naik kam duniya may na honay day... Insan jisay ashraf ul makhlooqat kaha gaya hay....us ko bohat baray imtihan may dala gaya hay.... Do rastay hain option may us k pass... ik achai ka rasta jo bakhshish ka rasta bhi hay Dosra burai ka rasta jo tabahi aur dozak ki aag ki taraf lay jata hay... bohat baray imtihan may dala gaya hain insan ko......... Jab tak wo achai aur burai ka faisla kerta hay umr ki naqdi khatum honay ko ajati hay... Insan aur farishtay may bohat farq hota hay.....per aam tore per dekha ye jata hay k ... apki aik burai ap k saray achay kamon per pani phair daiti hay.......Ajj kal achai aur burai ka faisla maushray k so called thaikaidaron nay apnay hathon may ...

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...