Skip to main content

Alerts........

Hazrat Ali ka farman perh rahi thi k agar koi apni zaroorat k waqt tumhe yaad karay tou ye Allah ki tum per nazr e karam hay k usne kisi ki zarooraton ko pora kernay k liye waseela banaya...

Zindagi main koi bhi shaks perfect tou nahi hota ... main bhi nahi hon...

Jin logon k dil main dosron k liye reham nahi hota wo Allah say apnay liye kesay aur kyoon rehem ki umeed kerte hain...

wo jinko zindagi k badtareen dore main main nay yaad kia unhon nay lafzoon k teer chalaye aur jhatak dia...apnay ghar main bhi hain mujh si....per koi nahi......

wo mujh say meray rishtay ka haq ada ker rahay hain...ALERTS laga ker....yahan main ik dil ka nasore alfaz ki sorat likhon udher wo usay online bethay perh pain...Internet ki duniya hay...Modern way hay her chese ka ...

per mujhay sabr hay is bat ka k

mera sokha halq hay tou geelay halq walay jitna pee lain piyas kam nahi hogi...
mera din bhar main aik ya do sokha niwala hay tou char baar kha ker bhi bhook unki kam nahi hogi...
ajj mujh per ye waqt hay tou kal kisi aur ki baari...
ajj main dukh main hon tou kal kisi aur ki baari...
ye tou zindagi ka asool hay AJJ meri tou Kal teri baari...

Kisi per mat hanso k Rab nay mana kia hay....k usko jalal ajaye k wo tumko us k haal main mubtila ker k usay us haal say azad ker day...

Dilon main jaga bananay ka ik saleeqa hay ik tareeqa hay....jaan marni perti hay...apnay ap ko peesna perta hay...dosray ko apnay say berh ker samajna perta hay...khoon paseena aik kerna perta hay tab ja k kahin baat banti hay...

Do logon ko jhoot bol ker laraiyan kerwa k ap nay jaga banai tou kia kamal kia....?  agar jaan sako tou ye bata don tum logon ko ye....ye sirf tum logon nay apni jaan per wabaal kia hay...

Wo jo Maula hay na ....wo tou evidence nahi mangta kabhi bhi ,,,,documentary tou kisi bhi sorat nahi...kyoon k us k pass tou video hay sub ki aik aik junbish ki ....aik aik amal ki....

Ajj luti bethi hon tou kia...wo kahin tou cover karay ga na...kahin tou un amalon ki jaza day ga jo her munafiqat say paak thi....k amal ka daro madar niyaaton per hay....

Fehmida Chaudhary
5th July 2013

Popular posts from this blog

Bolo na....

Akser aisa kyoon hota hy k jin khushyon ki hum tamana krte hain wo milne ka time jab aata hy to tishnigi berhne ki bajaye...hum khud ko mehsoosat se aari mehsos krte hain...Kis qadr pather ho jata hy insan pathron k sheher me reh k...Dekha gaya hy k jo log ajj behiss ya pather hojate hain wo kabhi bht he ziada hassass howa krty thay...apnay se ziada unko dosron ki perwa howa krti thi... Ye duniya aisa kr deti hy aisa kabhi socha bhi na tha...yahan rishte se ziyada paise se pyar kia jata hy....khaloos se ziada , matlab se mila jata hy...sach se ziada, jhoot per aetibaar kia jata hy... Tou kia bura krti thi main k maine in sb se dur rakha tha khud ko...kia bura kia tha k tmne mujhy mere tanhai k taj mehal se la kr is duniya k zandaan me la k khara ker dia...yehi dosti thi, yehi wafa thi, yehi pyar tha tmhara??? Bolo na....??? Fehmida Chaudhary 16 June 2014

Aurat aur Sabr.....

Aurat jis may Rab nay bardash aur sabr ka madah her aik say ziada rakha hay..Bazahir nazuk nazar anay wali ye sinf e nazuk derhaqiqat bohat bahadur hoti hay...Karay say karay imtihan main apnay apko mazboot bana ker her had se guzar jati hay...per kisi ko nahi maloom hota k ye bazahir bahadur nazar anay wali....ander say kitni darpook aur kamzoor hay... Hamaray mazhab Islam nay aurat ko jo rutba dia hay wo kisi mazhab main nahi .... per ye society k thaikaidar Mazhab ki aar main aurat ka ahtisaal kertay nahi thaktay... Jab aurat sabr aur bardast ki tamam manzilain teh ker lay aur phir usko chup lag jaye tou uska matalab hay k wo thak zaroor gai hay magar apnay RAB per us nay maumla chore dia hay...aur wo RAB tou munsif hay aur insaf kernay wala hay...Kisi bhi aurat ki khamoshi k peechay kia kurb palta hay ye koi aurat he jan sakti hay....Ye khamoshi aik aisa jazeera hota hay jahan roz atish fishan phattay hain....laway ubaltay hain magar samander jaisa zarf rakhnay wali wo sinf e n...

Shirk...

 Main jo ye kehti hun keh mjhy mairay marnay k baad be-qutba qabr main dafnaya jaye. Koi nishani ,koi mansaab, koi hawala, tehreer na kiya jaye. Na he koi istaa'ara ho aur na he koi ishara jo yahan mere dafan hone ki kisi torr b nishandahi kry. Nahi...iski wajah kisi se narazi ya nafrat ka sabab bilkul bhi nhi. Suna hy marney k baad aap sub k pyarry ho jatay ho. Wese kitni ajeeb baat hy na ye baat hmay kitni dair se pta chalti hy k Allah ko pyare ho ker he hum sub k pyare bnty hain. Mujhy ye dar tha k " mri duaon mai asr hy" ki khaber agr kuch laghir maloomat aur be-aqeeday k logon ko hoi tou mere baad meri qabr ko mazar na bna dia jaye. Jahan log dhaggay bandhain, nangay pair chal ker aain. Cherhaway cherhain , dhaamal dalain aur manatain mangain. Maine us Rb se hamaisha manga. Usnemjhy us waqt suna jab main akailay thi. Usne mjhy us wat sahara diya jab main besahara thi. Usne mjhy tawakul aur emanh se nawaza tou kyoon krr mai b uski rehmaton ki munkir bn jaon. Main chah...